Jannat ke atraf me ek ghr dilane ki zimma dari

in hive-152587 •  3 years ago 

images - 2021-07-24T013621.827.jpeg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Jannat ke atraf me ek ghr dilane ki zimma dari.

Hazrat Abu Umama R.A rawayat krte he ki Rasool Allah S.A.W ne irshad farmaya:

Me us shakhs ke liye jannat ke atraf me ek ghr dilane ki zimma dari leta hu.

Jo haq pr hone ke ba wajud bhi jhagra chor de.

Or us shakhs ke liye jannat ke darmyan me ek ghr dilane ki zimmadari leta hu, jo mzak me bhi jhut chor de.

Or us shakhs ke liye jannat ke buland tareen darja me ek ghr dilane ki zimmadari leta hu jo apne akhlaq achhe bna le.

Hazrat Abdullah bin masood R.A rawayat krte he ki Rasool Allah ne irshad farmaya:

Kya me tumhe na btau ki vo shakhs kon he, jo aag pr haram hoga, or jis pr aag haram hogi?

Dozkh ki aag haram he hr ese shakhs pr jo logo se qareeb hone wala, nihayat naram mizaj or naram tabiyat ho.

Logo se qareeb hone wale se murad vo shakhs he jo naram khoyi ki wajah se logo se khub milta julta ho.

Or log bhi us ki achhi khaslat ki wajah se us se be taklluf or mohabbat se milte ho.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!