Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Kya tum miras se apna hissa nhi lena chahte?
Hazrat Abh Huraira R.A ek martaba madina ke bazar se guzrte huye thehr gye, or farmaye:
Bazar walo! tumhe kis cheez ne aajiz bna diya he?
Logo ne puchha: Abu Huraira kya bat he?
Aap R.A ne farmaya: tum yha bethe ho or Rasool Allah S.A.W ki miras taqseem ho rhi he.
Kya tum ja kr Rasool Allah S.A.W ki miras se apna hissa lena nhi chahte?
Logo ne puchha: Rasool Allah S.A.W ki miras kaha taqseem ho rhi he?
Aap ne farmaya: masjid me, log daure huye masjid me gye.
Abu Huraira R.A logo ke pas aane ke intezar me vhi thehr rhe yha tk ki log waps aagye.
Aap S.A.W ne puchha: kya baat huyi ki tum waps aagye?
Unho ne arz kya: Abh Huraira hm masjid gye, jb hm masjid me dakhil huye to hm ne vha koi cheez taqseem hoti huyi nhi dekhi.
Hazrat Abu Huraira R.A ne un se puchha tum ne masjid me kisi ko nhi dekha?
Unho ne arz kya: ji haan, hm ne kuch logo ko dekha ki vo nmaz prh rhe the, kuch log Qur'an kareem ki tilawat kr rhe the, or kuch log halal o haram ka muzakra kr rhe the.
Hazrat Abu Huraira R.A ne farmaya: tum pr afsos he yhi to Rasool Allah S.A.W ki miras he.
Shukriya..