Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Logo ke chehron ki nooraniyat.
Hazrat Amar bin Absa R.A farmate he ki me ne Rasool Allah S.A.W ko ye irshad farmate huye suna:
Rahman ke dahni taraf, or un ke dono hi hath dahne he.
Kuch log ese honge ki vo na to Nabi honge, na shaheed, unke chehron ki nooraniyat dekhne walo ko apni taraf mutawjja rkhe gi, un ke darje bulnd mqam or Allah taala se un ke qareeb hone ki wajah se ambiya or shohada bhi un pr rashk krte honge.
Puchha gya: Ya Rasool Allah! vo log kon honge?
Irshad farmaya: ye vo log honge jo mukhtalif khandano se apne ghar walo or rishta daro se dur ho kr Allah taala ke zikr ke liye ek jagh jama hote the, or ye sb is tarah chant chant kr achhi bate krte the.
Khajure khane wala khujuro ke dher me se achhi khajure chant kr nikalta rehta he.
Hadees sharif me Rahman ke dahni taraf hone se murad ye he ki in logo ka Allah taala ke yha khas maqam hoga.
Rahman ke dono hath dahne he ka matalab ye he ki jese dahna hath khobiyo wala hota he, ese hi Allah taala ki zaat me khubiyan hi he.
Ambiya A.S or shuhada ka un pr rashak krna in logo ke is khas amal ki wajah se hoga, agrche Hazrat ambiya A.S or shuhada ka darja in se kahi zada hoga.
Shukriya..