Maut ke baad aane wale halat.

in hive-152587 •  3 years ago 

images - 2021-07-25T012152.444.jpeg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Maut ke baad aane wale halat.

Hazrat Usman R.A me azad kirda ghulam Hazrat Haanyi R.A. farmate he:

Hazrat Usman R.A jb kisi qabr ke paas khare hote to bahut rote, yha tk ki aansuo se apni darhi ko tar kr dete.

Un se arz kya gya ye kya baat he ki aap jannat dozakh ke tazkire pr nhi rote or qabr ko dekh kr is qadr rote he?

Aap ne farmaya ki Rasool Allah S.A.W ne irshad farmaya:

Qabr aakhirat ki manzilon me se pehli manzil he, agr banda us se nijat pa gya to aage ki mazile us se zada aasan he.

Or agr is manzil se nijat na pa ska to baad ki manzile is se zada sakht he.

Rasool Allah S.A.W ne farmaya: me ne koi manzar qabr ke manzar se zada khaufnak nhi dekha.

Allah taala hm sb ko azaab e qabr se bchaye.

Aameen.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!