Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
Mohabbat takleef ko khatam kr deti he.
Ek aurat ka koi bacha nhi he, koi aulad nhi he, vo kehti he bhai:
kisi tarah mera ilaaj krao, taki bacha ho jaye aulad ho jaye.
Or us ke liye duayen krati phirti he ki dua kro Allah taala se mujhe aulad de de, or us ke liye taweez , gande or khuda jane kya kya krati phir rhi he.
Ek dusri aurat us se kehti he ki are! tu kis chakkr me pri he?
Bacha paida hoga to tujhe bahut se mushaqqate uthani prengi, or jare ki rato me uth kr thande pani se kapre dhone honge.
To vo jawab deti he ki mere ek bache pr hzar jaro ki rate qurban he.
Is liye ki is bache ki qadr o qeemat or us ke daulat hone ka ehsas us ke dil me he.
Is waste us maa ke liye sari takleefe rahat bn gyi , vo maa jo Allah se maang rhi he ki ya Allah!
mujhe aulad de de, us ke mayene ye he ki aulad ki jitni zimmadariya he, jitni takleefe he vo de de.
Lekin vo takleefe us ki nazar me takleefe hi nhi, blki vo rahat he.
Ab jo maa jare ki rat me uth kr kapre dho rhi he, us ko tabyi tor pr takleef to zarur ho rhi he.
Lekin aqli tor pr use itminan he, me ye kam apne bache ki bhalayi ki khatir kr rhi hu.
Jb ye itminan hota he to us waqt use apni aarzo ko kuchlne me bhi lutf aane lgta he.
Jb mohabbat ho jati he karwi se karwi cheeze bhi meethi maloom hone lagti he.
Jin kamo me takleef ho rhi thi, mohabbat ki khatir un me bhi maza aane lgta he, lutf aane lgta he ki me ye kaam mohabbat ki wajah se kr rha hu, mohabbat ki khatir kr rha hu.
Shukriya..
Yes love is a very small word but its meaning is very big. Therefore, always try to treated with others with love.
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit