Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Muslmano ka maqam.
Hazrat Ibn Abbas R.A se rawayat he ki Nabi Kareem S.A.W ne farmaya:
Qayamat ke din shaheed ko laya jayega or us ko hisab kitab ke liye khara kr diya jayega.
Phir sadqa krne wale ko laya jayega, or us ko bhi hisab kitab ke liye khara kr diya jayega.
Phir un logo ko laya jayega jo duniya me mukhtalif musibato or takleefo me mubtla rhe.
Un ke liye na meezan adal qayem hogi or na un ke liye koi adalat lgayi jayegi.
Phir un pr ajar o inaam itne barsaye jayenge ki vo log jo duniya me aafiyat se rhe us behtarin ajar o inaam ko dekh kr tamanna krne lgenge ki un ke jism duniya me qainchiyo se kaat diye gye hote, or us pr vo sabar krte.
Isi tarah ek or hadees shareef ka mafhum he ki Nabi Kareem S.A.W ne irshad farmaya:
Jb Allah taala logo se mohabbat farmate he to un ko musibato me dal kr aazmate he.
Jo sabar krta he us ke liye sabar ka ajar likh diya jata he.
Or be sabari krta he to us ke liye be sabari likh di jati he, phir vo rota peet ta hi rehta he.
Shukriya..