Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Paaki (Wuzu) aadha iman he.
Is hadees shareef me wuzu ko aadha iman is liye farmaya ki iman se dil ke kufr o shirk ki napaki dur hoti he, or wuzu se aaza ki napaki dur hoti he.
Namaz ke noor hone ka ek mayena ye he ki namaz gunah or be hayai se rokti he jis tarah noor andhere ko dur krta he.
Dusra mayena ye he ki namaz ki wajh se nmazi ka chehra qayamat ke din roshan hoga, or duniya me bhi nmazi ke chehre pr tar o taazgi hogi.
Teesra mayena ye he ki namaz qabr or qayamat ke andheron me roshni he.
Sadqa le daleel hone ka matalab ye he ki maal insan ko mahboob hota he or jb vo Allah taala ke raste me us ko kharch krta he, or safqa krta he, to ye sadqa krna us ke iman me sacha hone ki alamat or daleel he.
Sabar ke roshni hone ka matalab ye he ki sabar krne wala shakhs yani Allah taala ke hukmon ko pura krne wala, na farmani se rukne wala or takleefon ko bardasht krne wala apne andr hidayat ki roshni ke liye huye he.
Shukriya..