Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
Quran kareem sirf usool bayan krta he.
Quran kareem me aap ye dekhenge ki aam tor pr quran kareem mote mote usool bayan kr deta he, tafseelat or juzeeyat me nhi jata.
Unhe bayan krta he, yha tk ki namaz jesa ahm rukn jo deen ka sutoon he, jis ke bare me quran kareem ne 73 jagh pr hukm diya ki namaz qayem kro.
Lekin namaz kese prhi jati he? us ka tareeqa kya hota he? us ki rakate kitni hoti he? or kin cheezon se namaz tut jati he, or kin cheezon se nhi tut ti?
Ye tafseelat quran ne bayan nhi ki.
Ye Huzur S.A.W ki taaleem pr chor de, Aap S.A.W ne apni sunnat se bayan farmaye, isi tarah zakat ka hukm bhi quran kareem me kam o besh itni hi martaba aaya he.
Lekin zakat ka nisab kya hota he? kis pr farz hoti he? kitni farz hoti he? kin kin cheezon pr farz hoti he? ye tafseelat quran kareem ne byana nhi ki.
Balki Nabi Kareem S.A.W ki taaleemat pr chor diye, maloom hua ki quran kareem aam tor pr usool bayan krta he, tafseeli juzeeyat me nhi jata.
Shukriya..