Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Sabar kis ko kehte he?
Ek badwi Hasan basri ke pas aaya or us ne puchha ki sabar kis ko kehte he?
Hasan ne farmaya ki sabar 2 qism ka he: Ek bala or musibat pr or, ek un cheezon pr jin ke ikhteyar krne se hm ko rok diya he.
Aage aap ne mazeed tafseel btayi jis se badwi be had mutasir hua or keh utha ki Hazrat! na me ne aap ke misl koi zahid dekha na aap se brh kr sabir suna.
Hasan ne mtanat se kaha ki ae badwi! mera zahid tmam khwahish or mera sabar be sabri ke sabb he.
Badwi bada hairan hua or us ne kaha ki apna matlab saf saf bayan farmaye, kyunki aap ke kalmat se mera dil mutardd ho gya he.
Hasan ne farmaya ki mera sabar bala or musibat pr ya itaat ilahi pr jo he vo khud bta rha he ki dr asal dozkh ki aag ka darr is ka sabb he jise jza kehte he, rha zuhd vo to jannat ki raghbat is ka sabb he.
Sabar or zohd to haqiqatn us shakhs ke qawi he jo sabar or zohd dono ko khalistn Allah ke liye ikhteyar kre.
Na jannat ki nematon ka husul is ka mohrik ho or na dozakh ka darr.
Shukriya..