Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
Shukr.
Roza ambiya A.S ki sirf taqleed or pairwi nhi blki Allah taala ke us azeemushan ehsaan ka jo us ne apne paighmbr sadiq ke zariye insano pr kya shukriya he or shanasi ka ehsas he.
Vo kitab ilaahi, vo taleem rabbani, vo hidayat roohani jo in ayyam me insano me insano ko inayat huyi.
Jis ne un ko shaitan se farishta or zulmati se noorani bnaya, pasti v zillat ke gehre ghar se nikal kr un ko oj kamal tk pahunchaya.
Un ki wahshat ko tehzeeb o ekhlaq se un ki jihalat ko ilm o marifat se un ki nadani ko hikmat se or un ki tareeki ko basirat or roshni bdl diya.
Jis ne un ki qismato ke panse palat diye or fazal o daulat or khair o barkat ke khzano se un ke kashano ko mamor kr diya.
Jis ne zarra ki miqdar ko aaftab or masht khak ko hm dosh suraiya bna diya.
Quran kareem apne in alfaaz me usi haqiqat ki taraf ishara krta he.
"Or is liye taki tum Allah ki barayi byan kro ki tum ko us ne hidayt di or ta ki tum us ka shukriya kro"
Is hidayt rabbani or kitab ilaahi ke atiye pr shukr guzari ka ye ramz o ishara ki is mahine ki rato me muslman is puri kitab ko nmazo me prhte or sunte he.
Or is mahine ke khatme pr Allahu Akbar Allahu Akbar ka tarana bulnd krte huye eidgaho me jate or khushi or muasrrat ke walwalo ke sath eid gahon ka dogana shukr ada krte he.
Shukriya..