Maa

in hive-161155 •  5 years ago 

A tribute to every mother!
Kudos to my friend & co-author 'Ajnabi' for helping me out on re-framing this!

zuban se jo nikala woh pehla shabd, maa, wo tere liye hi tha,
mere nanhe kadmo ko chalna sikhaya tune,
meri aankon ke har sapne ko naya roop diya tune.
main kuch nahin tere bina,
mujhe mera wajood diya tune.

mere nadaniyon ko samjha tune,
mere bachpan ko sanjoya tune,
meri fikar yun har waqt karta tera saya hi to tha,
main jo bhi hun aaj, teri parchayi hi to hun.

bachpan ki har wo sharartein yaad aa jati hain,
jo bachpan kisi aur ki nazar mein aati hai,
lagta hai khud ko kabhi,
kyun itna pareshan kiya karta tha tujhe,
aaj bhi samjh nhi aata ki hass ke taal dena un shararaton ko,
kyun aadat si ban gayi thi teri.

meri zindagi ki neev rakhta tera pyaar hi to tha,
teri isharon pe beeta tha bachpan mera,
teri daanto mein jeeta tha bachpan mera.
teri lori sun ke hi mujhe neend aati thi,
tere aanchal mein rakhke sar; beeta tha bachpan mera,
aaj bhi wo daant khane ko jee chahta hai,
yun tere lori sun ke so jane ko jee chahta hai.

duniya ki bhaag daud se door,
zalim duniya ki soch se pare,
jo hai ye shor bahot mere aas paas,
tere aanchal mein fir se sar rakhne ko jee chahta hai,
khud ko kabhi na samjh pata jo tu na hoti.
tujh bin mera koi astitva nahi,
tu hai to main hun,
aur tu kehti hai ki mujh bin tu nahi.

tu hai mera aayina,
tujh mein hi khud ko fir se paane ko jee chahta hai.
main chup jaun jahan se ja ke kahin,
bas teri hi god mein so jane jo jee chahta hai.
kehte hain sab khuda hai jahan mein kahin,
bas tujhe dekh lun to mujhe uska hi aks nazar aata hai.

23KQwnti57stuXpnvnU2D4w5Hhi3Micu1ZRCk7Tjiao4xBwLYzD8UGf2ap5ZRqXdhirWtE1HyVLZKRd9J1zhjSYHHiUBoca.png

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
Sort Order: