Maa ki Mohabbat

in hive-176627 •  4 years ago 

Jab hum peda huye hamari maa ne hame god me uthaya. hamari pehli Mohabbat hamari maa ban jati he.

Hamari khamoshi ko samajhti he maa , humse itni mohabbat karti he maa.
hamari pehli ghiza maa ka dudh he , agar maa na ho to hame bhuke rehna pare.
Maa sab kuch he , maa ka dil kabhi mat dukhana.

Jab tum bolna seekhte ho to sabse zada khushi maa ko hoti he . Vo humse bohot sara pyar karti hein unhe kabhi takleef mat dena.

ec019cc4ff144ec6738e705ed2758154.jpg

source
Jab hum chote se masoom bache hote he to zaroorat parne par maa khud geele pe sojati he par hame geele par kabhi nahi sone deti.
kya esi mohabbat koi kar sakta he ?

Apni zubaan ki taqat apni maa par mat dikhana kyuki unhone hi tumhe bolna sikhaya tha.
unke sath acha sulook karna , unka hamesha khayal rkhna.

maa ke pero tale to jannat he , apni jannat ko kabhi apne hatho barbad na karna.
Apni maa se bhi tum bhi thori mohabbat karlena kyunki maa to maa hoti he tumse zaada nhi bs thora hi mangti he.

Sach me maa jesi koi nahi ho sakti , koi bhi nhi.

thanku

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!