Mujhe bachpan se hi Art🎨🎭 me Ruchi thi, mai har tarah ki kalakaari sikhna chahti thi lekin yha koi art class ya art school nhi tha, Maine Jo kuchh bhi sikha bas khud se ya taswiro ko dekh kr hi sikha.*
Ye meri pasndida art me se ek hai
Jaisa ki aap dekh sakte hain, es taswir me ek maa apne pariwar k liye khana banana rahi hai, or uski beti thaali lekar khadi k khane ki pratiksha me
Es taswir me purane zamane ki parmpara bhi bani Hui hai, jab gas cylinder (LPG) k jagah chulhe chouke ka prayog Kiya jata tha.
Us zamane me log mehnat jyada karte the kyoki us samay me suwidhaye kam hoti thi, or mehnat, sahi Khan paan ki wajah se log swasth or lmba jivan bhi jeete the, lekin ab k aadhunik yug me bhale hi suwidhaye bahut hai, lekin en sabki wajah se log aalsi bhi ho Gaye hai, jis kaaran wo fit nhi hain or na hi swasth, gym, exercise k bawjud bhi wo medicine par depend hai, lekin aaj bhi kai jagah khastour par gao me log purani parmpara ka wahan kar rhe hai or khush bhi hai.**
Mehndi designs
Hatho par baarik mehndi ka design utaarna bhi ek tarah ka khas art hi hota hai
Yah mehndi k patto ko pees par taiyar Kiya jata hai, Bharat me chahe jo bhi tyohar ho Puja path ho yha ki aurten, mahilayen mehndi lagaana bahut pasnd Kati hain, Hindu vivahon me to mehndi ki ek mahtwpurn rasm bhi hoti hai or Esme dulhan k sath dulhe ko bhi mehendi lagaai jaati hai.**
Durga Puja
#navratr
Hmare yaha ab to navratri bit chuki hai or aaj murti visarjan bhi ho rahi, pataa hi nahi chalaa ki kab ye 10 din nikal gayen, lekin jo bhi raha bahut achcha raha, hamne kafi enjoy bhi kiya, jagah jagah mele bhi ghumne gaye, devi mata k darshan bhi kiye, lekin sach kahi to jab bhi ye tyohar jata hai to man kahi n kahi udaas bhi ho jata hai, chahe kitna bhi khud ko busy kyo n rakhu.
Ye dekhiye dosto
Ye hmare yaha ki murti ki kalaakari hai, ye sirf murti nahi blki ye hain hamare shree Radhe Krishna Ji
Hamare shree Radhe Krishna ko sayad hi koi Aisa ho Jo nahi janta ho, Puri duniya enki deewani hai
Krishna ji ne apne pure jivan kaal me bahut se chamtkar kiye, leelayen Kari hai, bahut se lok kalyaan kiye hain, jivan k liye mahtwpurn anginat Sikh diye Hain jisko agar ham apne jivan me kare to jivan aasan ho Jaye.
Radhe Krishna ji sirf hamare liye bhagwan hi nahi hamari sachchi bhawna bhi hain, jise sirf mehsus Kiya ja sakta h.