Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Allah ke mehboob bn jao.
Agr tum meri itteba kroge to Allah taala tumhe apna mehboob bna lenge.
Lehaza agr chote chote kam, sunnat ka lehaz krte huye kr liye jaye, bs mehboobiyt hasil hone lge gi.
Or jb pure tor pe itteba krne wale bn jaoge to kamil mehboob bn jaoge.
Hmare Hazrat doctor Abdulhay R.A farmaye krte the me ne muddato is bat ki ryazat or mshq ki he ki ghr me dakhil hua, khana samne rkha ho, bhuk shiddt ki lgi huyi he.
Or khane ka dil chah rha he, lekin ek lmhe ke liye ruk gye ki khana nhi khayenge
Fir dusre lmhe dil me ye khyal laye ki Huzur Aqdas S.A.W ki sunnat thi ki jb aap ke samne achha khana aata tha to aap Allah taala ka shukr ada krke kha lete the.
Ab hm bhi Huzur S.A.W ki itteba me khana khayenge.
Lehaza ab jo khana khaya vo Huzur S.A.W ki itteba me khaya, or us pr Allah taala ki mohabbat bhi hasil hogyi, or tabiyt bhi ser hogyi.
Isi trh ghr me dakhil hoye, or bccha khelta kudta hua achha lga, or dil chaha ki usko god me utha le,
Lekin ek lmha ruk gye ki nhi uthayenge, fir dusre lmhe dil me ye khyal laye ki Huzur S.A.W bccho pr shafqat farmate the.
Unko god me utha liya krte the, me bhi aap ki itteba me bcche ko god me uthaunga.
Hazrat Mohammad S.A.W ki itteba me jb bche ko uthaya to ye aml Allah taala ke mehboob hone ka zriya bn gya.
Duniya ka koi kam esa nhi, jis me itteba sunnat ki niyat na kr skte ho.
Aap ki sunnat ki cheeze prhte jaye, or us pr aml krye.
Fir dekhye ap ka hr din sunnat itteba ka din hoga.
Allah taala mujhe or aapko is pr aml krne ki taufiq ata farmaye.
Aameen.
Shukriya..