Asal Sulook

in hive-183209 •  4 years ago 

IMG-20210205-WA0000.jpg
Source
Asslamu alaikum wa Rahmatullah.

Sukoon Allah ke zikr me he.

Allah taala ki nafarmani me sukoon or qrar nhi he.

Duniya bhr ki cheeze kharid lo, daulat hasil krlo, hr zrurt ko pura kro, lekin is ke bawjud sukoon nhi milta, chain se insan nhi jeeta he.

Aksr ameer logo ke pas sb kuch hone ke bawjud vo sukoon se reh nhi pate, unhe chain ki nind bhi naseeb nhi hoti, chain se sone ke liye goliya khani parti he, halanki unke pas hr cheez maujood he, ghr paise, gari, Allah taala ko bhul kr aesh ki zindagi guzar rhe he, apni mrzi se jese chahte he zindagi bsr krte he, fir bhi unko sukoon nhi milta he.

Aakhir unhe sb kuch hone ke bawjud sukoon kyu nhi milta?

Is liye ki gunaho me sukoon kbhi nhi mil skta, in gunaho or nafrmani me sukoon nhi he.

Blki sukoon sirf ek cheez me he, or vo he Allah taala ki yaad, usi me sukoon he.

Allah taala ki yad me itminan or sukoon he, is wajh se smjhna dhoka he ki nafrmani krte jayenge, or sukoon milta jayega.

Yad rkhye! Zindagi bhr nhi milega, is duniya se tarap tarap jaoge, agr nafrmani ko nhi chora to sukoon ki manzil hasil nhi hogi.

Sukoon Allah taala unhi logo ko deta he, jin ke dil me uski mohabbat ho jin dil me uski yad ho, jin ka dil unke zikr se aabad ho.

Unke sukoon or itminan ko dekho ki zahiri tor pr preshan hal bhi he, faqe bhi he, lekin dil ko sukoon or qrar ki nemat hasil he.

Lehaza agr duniya ka bhi sukoon hasil krna chahte ho to un gunah or nafrmani ko chorna prega, or gunah ko chorne ke liye zra si takleef uthani hi pregi, khud ke khilaf khud ko khara krna hi prega, tbhi sukoon hasil hoga.

Allah taala hmare dil me hmesha Allah ko yad krne wala bna.

Aameen.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!