Ek buzrg ka waqiya.

in hive-183209 •  4 years ago 

d546f8084fed5d22379ec4361ef901e1.jpg

Source

Asslamu alaikum wa Rahmatullah.

Ek buzrg ka waqiya.

Ek buzrg the, un ke bare me ye bat bahut mashhoor he ki sari zindagi me vo kbhi nhi hase, un ke muh pr kbhi muskuraht bhi nhi dekha gya.

Hr wqt fikr mnd rehte the, kisi shakhs ne un se puchha ki, Hazrat! hm ne aap ko kbhi haste huye nhi dekha.

Apke chehre pr kbhi muskuraht nzr nhi aayi, ap hmesha fikrmnd nzr aate he,
uski wajh kya he?

To unho ne jwab diya ki, bat dr asl ye he ki me ne hadees sharif me prha he ki kuch makhluq esi he jo Allah taala ne jannat ke liye paida farmayi he.

Or kuch makhluq esi he jo jahnnam ke liye paida farmayi gyi he.

Mujhe ye maloom nhi ki me kon se ramze me dakhil hu.

Jb tk mujhe ye pta na chl jaye ki me jannat wale ramze me dakhil hu, us wqt tk hasi kese aaye?

Bs isi wajh se hr wqt fikr me mubtala rehta hu.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!