Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Juma ki nmaz ka byan.
Juma ki namaz frz he, blki zohr ki nmaz se us ki takeed zada he.
Juma ke din zohr ki nmaz nhi he, juma ki nmaz us ke qayem mokam kr di gyi he.
Juma ki nmaz hr azad baligh, samjhdar, tandurst, or mukim mrdo pr frz he.
Na baligh bcho, or deewano, bimaro, andho, apahijo, or isi trh uzr walo or musafiro or aurato pr juma ki nmaz frz nhi he.
Juma ki nmaz ki ye sharte he, shehr ya shehr ke qayem mukam bade gaon ya kasbe me hona.
Isi trh shehr ke aas pas ki esi abadi ki shehr ki zrurte us ke sath mutaliq ho.
Jese shehr ke murde vha dfn hote ho, chote qasbe gaon me juma ki nmaz durst nhi he.
Zohr ka wqt hona, nmaz se pehle khutba prhna, jmaat ka hona, or izn aam he.
Izn aam ke mtlb ye he ki sb ko ijzat ho, jo chahe aakr nmaz me shareek ho ske.
Esi jagh juma ki nmaz sahi nhi hoti ki vha khas log aa sakte ho, or hr shakhs ko aane ki ijazat na ho.
Shukriya..