Musafir ki namaz.

in hive-183209 •  4 years ago 

156e605b8ae5e2c1e0084b91a41a8a2b.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Musafir ki namaz.

Shariyat me musafir us ko kehte he, jo itni dur jane ka irada kr ke nikle jaha teen din me pahunch ske.

Teen din me pahunchne se ye garz nhi ki sara din chl kr teen din me pahunche, blki hr roz subah se zawal tk chlna he or chal se drmyani drje ki chal or din se chote se chota din murad he.

Musafir ki namaz me ye frk he ki musafir zohr asar, or isha ki namaze char 4 rikat ke bajaye do 2 rikat prhta he, or fajar maghrib or vitr ki namaze apni hal pr rehti he, un me koi frk nhi hota.

Musafir ki namaz ko qasr kehte he.

Jb tk musafir safar me rhe or kisi shehr ya qasbe ya gaon me pahunch kr vha 15 din rukne ki niyat krle, us wqt tk namaz qasr krta rhe, or jb kisi jgh 15 din thehrne ki niyat krli he to niyat krte hi puri namaz prhne lge.

Jb ikhte 15 din ki niyat na kre namaz qasr prhna chahiye, or usi halt me 15 din se zada bhi guzr jaye tab bhi koi hrj nhi.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!