Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Zakat ada krne ka sahi tareeqa.
Jis qdr zakat wajib huyi he vo mustahik ko khas khuda ke waste dedo, or use malik bna do.
Kisi khidmat ya kisi kam ki ujrat me zakat dena jayez nhi, haan agr maal e zakat se faqeero ke liye koi cheez khareed kr un ko taqseem krdo to jayez he.
Zakat uss wqt ada kre jb ba qdre nisab maal pr qamri hisab se sal pura ho jaye to forn zakat ada krna chahiye, der krna achha nhi.
Zakat dete wqt ye niyat kre ki jb maal me se zakat ke liye maal alg rkhte huye ye niyat kre ki ye maal me zakat me deta hu, ya zakat ke liye alg krta hu.
Agr beger khyal zakat kisi ko rupay de diya or dene ke bad usko zakat ke hisab me lga liya, to zakat ada nhi hogi.
Shukriya..