Gandhi Nirvan din ( Gandhi ji death Anniversary )

in hive-196725 •  4 years ago 

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Gandhi Nirvan Din.

9ddd95bec31f46e6b43828d1910ad796.jpg

Source

30 January Hindustan ki tarikh me ek behad hi drd nak din he.

Is din Hamare desh ke bohot bade leader , jinhe hum baapu ke naam se bhi jaante he unki shahadat hui.

ji haan is din mahatma gandhi ji ko shaheed kardya gya tha.

Gandhi Ji ki death anniversary hone ki wajh se is din Shaheed Divas manaya jata he.

Vese to 23 March ko Shaheed Divas manaya jata he, kyuki uss din Bhagat Singh, Sukhdev, or Rajguru ko fansi di gyi thi lkin aj ke din ko bhi bhula pana mumkin nhi he.

Isi din Gandhi Ji ko goli lgi thi or vo shaheed hogye the.

30 January , 1948 me Nathuram godse ne Gandhi Ji ko goli mar kr shaheed kr diya tha.

Is napak kam nathuram godse ne Birla house me anjaam diya or hamare desh ke baapu ko goli mardi.

Gandhi ji ki umr uss wqt 78 baras thi.
Godse Hindustan or Pakistan ke taqseem hone ke faisle ko lekr Gandhi Ji ki soch se sehmat nhi tha.

Is din hr ilake ke Ministers unke qabar Rajghat pr aate he , or in ki izzat ko byan krte he, inki hr qurbani ko yad kiya jata he , jo inho ne apne mulk ke liye diye he, vo sb yad krte he.

Gandhi ji ek bohot badi shakshiyat the , inhe sirf hindustan nhi balki saare jahaan me jaana gya.

Aj ke liye jitna mujhe pta tha, mene sb likh dya lkin aj ke din ke bare me agar gehrai se janna chahte he to ap internet par is se mutalliq or ilm hasil karskte he.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!