Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
(Lohri)
Aj me Lohri ke bare me btaungi.
Punjabiyo ka sbse ehm tewhar (festival) he, is tewhar ko zadatr Punjab or Haryana me manaya jata he.
Lohri 13 January ko Makar Sankranti se ek din manaya jata he.
Lohri ke din aag me gajak, mungfali,rewdi, gur, or til charhayi jati he.
Naye shadi shuda jode is aag ke charo taraf ghumte he, or apni zindagi ko khush hal bnane ki dua mangte he.
Aam tor pr Lohri ko fasal katne or bone ke mauke mnaya jata he.
Is mauke pr Punjab me naye fasal ki pooja ki jati he.
Is din chaurahe pr Lohri jalayi jati he, or aag ke pas bhangra krte he, or ladkiya or aurate gidda krti he, or sare rishtedar mil kr dhum dham se Lohri ka jashn mnate he.
Is ke sath aag ke pas ghera bna kr Dulla Bhatti ki kahani bhi sunayi jati he.
Esa mana jata he ki Mughal Akbar ke khilafat me Dulla Bhatti nam ka ek aadmi Punjab me rhta tha.
Us wqt kch amir tijarti log (Business man) sman ki jagh shahr ki ladkiyo ko becha krte the.
Tb Dulla Bhatti ne un ladkiyo ko bcha kr shadi krwayi thi.
Tb se aj tk Dulla Bhatti ki yad me is kahani ko sunane ka silsila abtk jari he.
meri post 100% power up pr bhi set he.
Shukriya..