Hello Dosto, Aaj main fir se aap ko LIC ke ek plan ke baare me bataunga. Maine apni pichli post me bhi LIC ke hi plan ke baare me bataya tha aaj fir se main aap ko LIC ka plan Jeevan Utkarsh ke baare me bataunga. Dekho abhi ye policy lene me faayda hai kyo ki tax dene ka samay aa gaya hai aise me aap apne paise idhar laga sakte hai. Aap ke tax bhi bach jaayenge chaliye fir aage main aap ko iss ke baare me vistaar se batata hoon.
12 saal me hota hai mature
Ye policy 12 saal me mature hota hai aur 6 saal ke bachhe bhi iss policy me shaamil ho sakta hai aur adhiktam 47 saal ka hona chahye. Ye policy 12 saal ki hai aur jaise 12 saal pura hoga aap ko profit ke saath aap ke paise bhi aap ko mil jaayenge.
Loan bhi le sakte hai
Ji haan dosto iss me ek aur faayda ye hai ki aap ko loan bhi mil jaayega. Aaj kal ye suvidha LIC ne apne adhiktar policy me kar di hai. Sab me loan lene ki suvidha kar di hai. Agar aap ke pass policy rahegi to loan jaldi mil jaayega lekin agar aap ke pass koi policy nahi hai to fir chakkar kaatte raho bank ke. Bahut mushkil hota hai bank se loan lene me aap jaante hi honge.
Bank waale sirf ameero ko paisa dete hai taaki wo paisa leke faraar ho sake. Midil class waalo ko loan bahut mushkil se milta hai aap sayad jaante hi honge. Aise me agar koi policy hai LIC me to aap ko wahi se loan mil jaayega aur bataiye iss se badhiya chij aur kya chahye aap ko.
Sum assured kitna milega
Agar sum assured ki baat ki jaaye to iss me aap ko kam se kam 75k ka sum assured milega aur maximum ki koi limit nahi hai. Aap ki jitni aukaat hai uss hisaab se aap chunaao kar sakte hai.
Ek aur baat dosto agar 1 saal ke andar aap policy band karwana chahte hai to aap ko 70% amount wapis mil jaayega aur baaki ka sayad policy complete hone ke baad milegi. Aur agar 1 saal ke baad iss ko surrender karte hai to aap ko 90% amount mil jaayega.
Iss ke baare me main aap ko apni agli post me aur bhi achhe se bataunga. Tab tak aap meri pichli post bhi dekh sakte ho iss me bhi maine aap ko ek LIC ke plan ke baare me bataya hai. Ye plan bhi mujhe sahi laga hai.