Bhaaiyo kaise ho aap sabhi log asha karta hu aap sabhi log acche hi honge. Dosto aap sabhi ko to pata hi hoga ki acchi sehat ke liye vitamin -A kitni faydemand hai. Vitamin -A se hamare aankho ki roushni bhi tez hoti hai or manspeshiya bhi majbut hoti hai. Vitamin -A khoon me calcium ka astar ko banaye rakhta hai or hamare haddiyo ko majbut banata hai.
Image Source
Dosto Vitamin -A hamare sharir ke skin, hair, nakhun, dant, masude or haddiyo ke liye kafi faydemand hai.
Agar kisi ke sharir me vitamin -A ki kami hogi to uska skin sukhi type ki hoti hai, sardi jukam ho jati hai, thakan jada aati hai or nind kam aati hai, dant kamjor ho jati hai or wajan kam hoti hai yah sabhi problems hoti hai jiske sharir me vitamin -A ki kami hoti hai.
Vitamin -A ke se hame yah sabhi labh hote hai jaise hamare aankho ki roushni badhti hai or hamesh ke liye bani rahti hai hamara sharir healthy or fit rahta hai or hamare dant bhi majbut bane rahte ha or bhi bahut sare fayde hote hai.
Agar chote baccho ko vitamin -A ki kami hoti hai to inka height kam hi rah jata hai inka height badhta nahi hai or hamari skin par bhi iska asar hota hai hamara skin rukhi sukhi ho jati hai or vitamin -A ki kami hone se hamare baal bhi jhadne lagte hai isliye dosto hame sabhi fal or sabjiya khani chaiye jisme vitamin -A ki matra ho.
Image Source
Saag, makay, rajma, aam, sarso, kaddu, dhaniya, papita, hari sabjiya, paneer, butter, anda, gajar, tamatar or bhi bahut saare phal ya sabjiya hai jis se hame vitamin -A prapt hota hai.
You got a 7.35% upvote from @upme thanks to @akshaykumar12257! Send at least 3 SBD or 3 STEEM to get upvote for next round. Delegate STEEM POWER and start earning 100% daily payouts ( no commission ).
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit