20:Iqwal Hazrat Ali(R.Z
- Dunia osko yateem samjti hy jis ke maa bap nahi hote magar main os ko yateem samjta ho jis ke achy dost na ho.
- Tum acha karo or zamana tum ko bura samjy ye tumhare haq main behtar hy, bjay is ke, ke tum bura karo or zamana tumahin acha samjy.
- Insah dukh nahi dete, insano sy wabsta umeedain dukh deti hain.
4)Agar tum kisi ko chota dekh rahy ho to tum osy door sy dekh rahy ho ya garoor sy dekh rahy ho.
!
5)Dunia dar ki sohbat ikhtiyar na karo, agar tum tangdast ho jao gy to ye tumahin chord dy gi or agar maal dar ho jao gy to tum sy hasad kary gi.
- Jab aankhain nafs ki pasandida cheezain dekhny lagain to dil anjaam sy andha ho jata hy.
- Agar tum sedhy rasty par ho or tum kisi mshkilat ka samna nahi kar rahy ho, to tum socho kuch deir ke leye ho sakta hy ke tum galat rasty par ho q k sedha rasta mushkilata par mushtmal hota hy.
- Jis insaan ko saal bar main koi takeef , koi ranj na pohncy to wo jaan le k moj sy mera rab naraz ho gia hy .
- Jab tum dunia ki muflsi sy tang a jao or rizq ka koi rasta na nakile to sadqa de kar Allah se tajarat karo.
- Namaz ki fikar apny oper faraz kar lo Khuda ki kasam dunia ki fiqar se azaad ho jao gy or kamyabian tumhare kadam chomain gi.
- Khuda se jab b dua mango, to mukadar mango, aqal nahi q ke main ne bohat se aqal walo ko mukadar walo ke dar par dikha hy.
- Aghar kisi ka zaraf azmana ho to isko ziada ezat do agar wo ala zaraf howa to ap ko or ziada ezat de ga or agar kam zaraf howa to khud ko ala samjhy ga.
- Apna sar oncha rakho ko tum kisi se nahi darte lakin apni nigahain niche rakho ta ke pata chaly tum aik ba ezat garany se taaluq rakhty ho.
- Achy logo ki aik khobi ye b hoti hy ke onhain yaad rakhna nahi parta wo yaad hi rehty hain.
- Dost ko dolat ki nigah se mat dikho, wafa karny wale dost aksar gareeb hote hain.
- Jo tumhari khamoshi se tumhari takleef ka andaza na kar saky os k samny zuban se izhar karna sirf lafzon ko zaya karna hy.
- Logo ko dua ke leye khny sy bhtar hy esy amal karo ke logo ke dilo sy dua nakily.
- Jo shaks tumhara gussa bardasht kar ly or sabat kadam rahy to wo tumhara suha dost hy.
- Hamesha such bolo taake tumhain kasam khany ki zarorat na pary.
- Logo ke eabo sy is tarha gafil ho jao jese sote waqat tum dunia se gafil ho jate ho.
Please like this post and follow my website or steemit and subscribe my channel.
My website or YouTube Name:
"Advice of Muhammad"
link website:
https://adviceofmuhammad.blogspot.com
interesting H.Z Ali(R.A) the best Quotes
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit
Ini tulisan menarik dan telah kami upvote ya.. 😁
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit