THE MONTH OF SAAWAN IN INDIA AND GREATNESS

in mgsc •  7 years ago 

SAAWAN MONTH

IMG-20180718-WA0005.jpg

Dosto ye ham sabhi log achhe se jante hai. Ki saawan ka mahina bhagwan shiv ko bahut priye hai. aursaawan ka mahina bhagwan shiv ke bhakt, kavdiyo kamela lagta hai. Aur sabhi bhakt log kavad me gangajal bharkar rhishkesh se ya haridwar se bhagwan shiv baba ke yanha jo uttrakhand state me NEELKANTH ke naam se parshidh hai. Ham saawan ke mahine me bhagwan shiv ke darshan ke liye jaate hai aur apni manokamnay mangte hai. Aur jo bhakt sachhe man se kavad le jata hai ya ganga jal le jata hai. Ushki manokamnaye bhagwan shiv puri karte hai. To aayeye dosto ham bhagwan shiv ke param pavan saawan ke mahine ki chharchha karte hai.

INTERPRETATION OF THE MONTH OF SAAWAN

IMG-20180718-WA0010.jpg

Dosto es baar saawan ka mahina 28 julay se suru ho raha hai. Aur din saniwar hai. Aur pehala saawan ka shomwar 30 julay ko hai. Aur saawan ki ending 27 august hai. Aur 26 august ko Rakshbandhan hai. Jo saawan maah ke purnima ko manaya jata hai. Saawan ka mahina bhagwan shiv ko bahut priye hai. Kinyoki es maah me puja, archna aur bhakti se mata parvti ji nebhagwan shiv ko parshnn kiya aur unhe pati roop me paya tha. Es mahine me kavdiyo ki reely rahti hai.
me paya tha. Es mahine me kavdiyo ki reely rahti hai. Haridwar and rhishkesh se ganga ji me nahakar aua ganga jal lekar neelkanth jaate hai. Aur bhagwan shiv ko arapit karte hai. Saawan ke mahine me jitne somwar aate hai un sabhi ko vart, puja kar bhagwan ko parshnn kar sakte hai. Kuvari kanyaye vart kar bhagwan shiv ko parshnn kar apna man pashnd var
jeshe parvati mata ko bhgwan shiv ji mile. Veshe hi sabhi kanyayo ko mile.

  • SAVARNA'S SHIVRATRI AND NAAG PANCHAMI

IMG-20180718-WA0008.jpg

Saawan ke mahine me aane vaali shivratri ko saawan ki shivratri kaha jata hai. Ish baar saawan ki shivratri 9 august 2018 ko hai. Aur din birwar ko manai jayegi. Aur saawan ke mahine me naag panchami bhi manai jaati hai. Aur yeh naag panchmi saawan maah ke shukal paksh ki panchmi tithi ko manai jati hai.aur yah hariyaaly teej ke 2 din baad aati hai jo julay ya august ke mahine m padti hai.

IMG-20180718-WA0006.jpg

IMPORTENCE OF NAAG PANCHMI

Saawn ke mahine me aane vaali naag panchmi me log bhagwan shiv ke mandir me ganga jal ya milk arpan karte hai. Aur naag panchmi vaale din shiv mandir me jakar milk arpan karye hai aur naago ko milk pilate hai. Jishse bhagwan shiv parshnn hote hai. Aur apne bhakto ke sabhi dukh dur karte hai. Naag panchmi me india ke har place me naago ko milk pilane ki prtha bani hui hai. Aur bahut se villego meish din kushti and dangal ki held contest kiye jaate hai.

IMORTENCE OF SERPENTS

IMG-20180718-WA0007.jpg

Saawan ke mahine me naag panchmi ke din naago ki puja - archna hoti hai. Aur aur saawan ke maah me puja karne se bahut labh hota hai. Ish din naago ke 12 roopo ka pujan kiya jata hai. Example...

  • ANANTA NAAG
  • VASHUKI NAAG
  • SHEASH NAAG
  • SHEASH NAAG
  • TAKSHAK NAAG
  • KALIYA NAAG
  • PINGAL NAAG
  • DHRISHTRASHTEY NAAG
  • KARKOTAK NAAG
  • PADHHNAAMA NAAG
  • KANBAAL NAAG
  • ASHAVTARA NAAG
  • SHANKHPAL NAAG HAI.

saawan mahine ka hindu samaj me bahut manyata hai. Ish mehine me bahut parve aate hai. Aur in parvo ki mahanata bahut adhik aalokike and priye hai.

Freainds thank you for waching and reading and all steemins. So that thank you of all everyone pepouls.

"HAR - HAR MAHADEV"

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
Sort Order:  

informative post. Great work

Congratulations @ishan2018! You received a personal award!

Happy Birthday! - You are on the Steem blockchain for 1 year!

You can view your badges on your Steem Board and compare to others on the Steem Ranking

Vote for @Steemitboard as a witness to get one more award and increased upvotes!