Google Kya Hai?
-Sabse Pehle Hum Google kya hai iske baare me baat karenge. Is article me Aapko Google kya hai, Google Kisne banaya, Google ki Poori Jankari hindi me batayenge.
Google Inc USA ki ek Multinational Corporation hai. Google Internet se related services provide karne me Expert aur Famous hai.
Google ko Larry Page aur Sergey Brin ne 1998 me banaya tha. Us time Larry Page aur Sergey Brin Stanford University, California(USA) me Ph.D ke Students the.
Google Search Engine ki development to 1996 me hi start ho gyi thi par yeh Officialy 1998 me launch hua. Pehle Google ka Name BackRub tha.
Par “Larry Page” aur “Sergey Brin” ne BackRub ka name Change karne ka Socha aur Iska Naam 1997 me Google Rakha Gya.
Aur Google.com Domain September 15, 1997 ko Register kiya gya.
Google Kisne Banaya ?
Google ko Larry Page aur Sergey Brin ne 1998 me Start kiya tha. Google Pehle “Backrub” tha. Kuch time Baad Yeh Google me Change kar diya gaya tha.
Google ka CEO(Chief Executive Officer) kon hai ?
Google Ke CEO Sundar Pichai hain. Sundar Pichai ka Poora Naam Sundar Raajan Pichai hai.
Sundar Pichai India se Hain aur inhe 10 August 2015 ko Google ka CEO(Chief Executive Officer) Chuna gaya.
Sundar Pichai ne Google 2004 me hi join kar li thi. Sundar Pichai ki mehnat aur Talent ki wajah se aaj bhi veh Google ke CEO hain.
Sundar Pichai ne IIT(Indian Institute of Technology) Kharagpur se B.Tech kiya hua hai.
Google ka Headquarter kahan hai ?
Google ka Headquarter “1600 Amphitheatre Parkway in Mountain View, Santa Clara County, California, United States” me hai.
Google ke baare me Kuch Interesting Facts:
2010 se Google har hafte ek na ek Company ko Aquire kar leti hai jaise- Youtube, Android, Waze, you name it, etc.
Google employees ko Hire karne ke liye foo.bar ka istemaal karta hai. Is tool baar se Google yeh search kar leta hai ki veh vyakti kya search kar raha hai.
Larry Page aur Sergey Brin’s ka Private Plane NASA me Land hua hai. Inke alawa Aur kisi ka Plane aaj tak yahan nhi land hua hai.
Google ne aur bhi bahut se name(domain name) Liye hue hain Agar Google ko koi bhi galat spellings daalkar bhi khole to bhi google hi khulega.
Jaise- www.gooogle.com, www.gogle.com, www.googlr.com, etc.
THANK YOU FOR GIVING YOUR BEST TIME
by SRnetworker
Hi! I am a robot. I just upvoted you! I found similar content that readers might be interested in:
http://www.hindisehelp.com/internet-ki-jankari/google-kya-hai-google-kisne-banaya/
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit