shiv puran - vayaviyasahita.
vayu dev kahte hai - jab brhma ji ki rachi hui prja na bad saki to unhone socha ki prja ki dridhi ke liye shiv se puchna chahiye unki krpa ke bina sristi nahi badh sakti asha socha tapsya karne ki teyari ki ,tab jo shiv ke jo nitya pass rahne wali jo unki parma shakti hai usi se yukat bhagwan trilochan ka apne hradya me chintan karte huyebrhmaji tapsya karne lage jisse thode hi samya me mahadev santust ho gaye tadanter apne anivarchnya ansa se kisi adbhut murti me aavist ho mahadev aadhe sarir se nari our aadhe sarir se ishwer hokar swyam brhma ji ke pass gaye. us sarvvyapi shiv ko dandvat prnam karke utha kr hath jod mahadev our parvati ki stuti karne lage.
davi ! aapke swarup ka samyak gyan devta aadi ke liye bhi asmbhav hai aapne sthul atmshakti se jagat ko vyapat kar rakha hai visva ke tatvo ka samudaye anek our ak roop me aapke hi aadhar par sthit hai .sarnagato ki raksha karne me atisya samrth parmesweri sansar me visvriksha ke ankuro ka unmulan karnewali aapi jai ho!
aswarya, shorya,vhebhav se yuket panchvidh,mokshroop purusarth ke pryog dwara prmaanandmya amrit ki prapti kranewale amrit swroop, sansar ke maharog ko door karnewale,agyan roopi andhakar ko door karnewale chandrikarupni shive, tripur ka vinash karnewale,trupr bhervi, teno guno se yuket maheshwer aadi sarvgya,aapi jai ho.
manovanchit vastu denewali aapi jai ho ! he bhagwan ! dev ! aap kaha utkrast dham our kaha meri tucha vani bhkti bhav se pralap karte huye sevak ko aap kshma kar de.! es prkar rudra our davi ka ak sath gungan karte huye chturmukha brhma ne rudr our rudrni ko bar bar namskar kiya brhma ji dwara pathit yaha pavitr our uttam ardhanarishwer strot shiv our parvti ke hars ko badhane wala hai jo koi kisi guru ki shiksha se es strot ka path karta hai vaha shiv our parvti ko prsanan karne ke karan apne abhist fal ko prapat karta hai ,
jo samast bhuvno ke praniyo ko utpanan karne wale hai jinke vigrha janam our mrtyu se rahit hai tatha jo sresth nar our nari roop me ak hi sarir dharan karke sthit hai un kalyankari bhagwan shiv our shiva ko mai pranam karta hu.
Jai shiv
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit