jiss tarha din ba din wardad badhti ja rahi he isse rokne ke liye kuch thos intazam karne chahiye GOVT ko agar aise hi chalta raha to aisi wardaat me aur badhoti hoti rahegi aur hum sirf haath par haath dhare rehjayenge ,
ek anaaj se fullyload 21 ton white chana le jaya ja raha tha Maharashta se delhi aur raste me kuch looteron ne truck ko overtake karke usse rukwadiya aur apne hathiyar ke power ki madad se truck driver aur uske saathi ko agwa karliya, aur phir sahi mauka dekh kar dono logon ko raste me dono ko phaink diya aur,
aur in dono truck driver aur uske saath ko kafi gambhir chot bhi ayi he aur lootere apna kaam karke raffu chakkar hogaye aur unhone jo maal loota he uski value he 7Lakh RS ka maal loot kar chale gaye,
pehle to hum sunte they ke paise walon ke ghar par daka dala jata tha ya jwellery shop par attack hota tha ab yeh time agaya he ke anaaj bhi loot kar legaye he ab yeh samajh nahi ata anaaj chori karne ki akhir kiya zarurat ayi ab yeh to lazmi si baat he yeh chori kiya huwa anaaj yeh log paisa kamane ke hi,
loota he to yeh zaroor kissi big dealer ko zarur sell karke apna profit book karenge par ab yeh dekhna he ke humari police iss par kaise action legi kya woh iss looteron tak pohonchegi ke nahi ke nahi,
agar iss tarha ki wardaat ko control karne me humari police zarur apna fully afford lagadegi par isse hume yeh ek RED SIGNAL mill gaya he ke ab iss tarha ki wardaat na ho iska khayal hume rakhna chahiye,
aur security aur badhadeni chahiye agar hum ab security ke baare me nahi sochenge to yeh looteron ka kaam saral hota jayega isliye aisi wardaat na ho iska khayal rakhna chahiye hum kabhi bhi nahi chahenge humari GOVT property ko koi loot kar le jaye,
फिर आगे जाकर बदमाशों ने दोनों को फेंककर ट्रक लेकर फरार हो गए। वारदात के दो दिन बाद मामला दरियागंज थाने में दर्ज कराया गया। पुलिस मामले की जांच कर रही है।
Source livehindustan.com