RUDRAKSHA DHARAN KI MAHIMA TATHA USKE VIVIDH BHEDO KA VARNAN -
sut ji kahte hai - mahapragya ! mahamate ! shivrup shaunak ! ab me sankshep me rudraksh ka mahatva bata raha hu, suno, rudraksh shiv ko bahut hi pryahai ,eshe param pawan samajhna chahiye, rudarksha ke darshn,sprasha,tatha us par jap karne se vaha samast papo ka nasha karne wala mana gaya hai.
mune - purv kal me parmatama shiv ne samast loko ka upkar karne ke leye dave parviti ke samne rudraksha ki mihima ka varanan kiya hi.
bhaghaswan shiv bole - meheshweri shive ! me tumhare premvas bhakto hit ki kamana se rudraksha ki mahima ka varanan karta hu, suno, mheshani ! purv kal ki bat hai , mai man ko vas me rakhakar hajaro varsho tak ghor tapashya me laga raha ak din shasa mera dhyan kshaubdh ho utha, paramshwerye ! me sampuran loko ka upkar karne wala swatnter perameshawer hu, atha us samya mene lilavas hi apne dono netre khole ,kholte hi mere manoher netrputo se kuch jal ki bunde giri, ashau ki un bundo se vaha rudarksha naam ka vraksha peda ho gaya.bhakto par anugrah karne ke leye bo ashrubindu sthaver bhav ko prapt ho gaye. ve rudraksha ko mene vishnu bhakto ko tatha chri varno ke logo me bat deye.bhutal per mene apne prye rudraksha ko mene good desh me utpnan kiya, mathura, ayodhya, lanka, malayachal, kashi, tatha anya desho me bhi uske ankur lagaye,ve rudarksha ashya pap samuho ka bhed karnewale tatha shrutyo ke bhi prarek hai.
sukh our moksha ke eksha rakhnewale shiv bhakto ko shiv our parvati ki prasnanta ke leye rudraksha ke falo ko awasya dhran karna chahiye, awale ke fal ke baraber jo rudraksha ho vaha shrestha bataya gaya hai, jo ber ke fal ke barabar ho use madhyam bataya gaya hai,our jo chne ke barabar ho use nimna koti ka mana gaya hai,eski uttamata ko parkhane ki dusri uttam prakriya bhi bataye gaye hai eshe batane ka uddeshya hai bhakto ki hitkamna ! parvati tum bhlibhati prempurvak es vishya ko suno.
maheshweri - jo rudraksha ber ke fal ke barabar hota hai, vaha utna chota hone par BHI LOKO ME UTTAM FAL DENE WALA tatha sukha sobhagya ki vridhi karanewala hota hai, jo rudraksha aawale ke fal ke barabar hota hai vaha samast aristo ka nasha karne wala hota hai, jo gunja fal ke saman chota hota hai vaha sampurn manortho our falo ki sidhi karane wala hai, rudarkswha jese jese chota hota hai vese vese adhik fal dene wala hota hai, ak ak bade rudarksha se ak ak chote rudraksha ko vidwano ne dasguna adhik fal dene walaq bataya hai,esleye rudraksha awasya dhran karna chahiye,khandit rudraksha nahi dhran karna chahiye,jesame swatha dora perone ke leye chedr ho vaha uttam mana gaya hai, jesame manushya chade kare vo madhyam mana gaya hai.
parvati - ak mukh wala rudarksha shiv ka swarup hai, jaha eski puja hoti hai vaha se lakshmi dur nahi jati hai.vaha rahne wale ki sampuran manokamnaye puri hoti hai, do mukh wala rudarksha deveshwer kaha gaya hai vah sampuran kamanao our falo ko dene wala hai, teenmukhiwala rudarksha sada sakshat sadhan ka fal dene wala hai uske prabhav se sari vidhyaye prapt hoti hai . char mukhwala rudraksha sakshaat brahma ka rup hai vaha sprsa se hi dhram,artha,kaam, moksha- in charo ko dene wala hai, panchmukh wala rudraksha sakshaat kalagnirudrrup hai vaha sab kuch karne me samarth hai sabko mukti denewala tatah sabhi manovanchit fal dene wala hai. chahmukhi rudarksha kartikeye ka rup hai, satmukh wala rudraksha anangswarup hai he deve usko dharan karne se daridr bhi aswaryashali ho jata hai . athamukhi rudraksha astamurti bherev rup hai usko dhran karne se manushya puran aayou prapt karta hai our mrtyou ke bad shuldhari shankar ho jata hai.noomukhi rudraksha muni ka rup mana gaya hai our noorup dhran karnewali durga uski dave mani gaye hai. das mukha wala rudarksha bhagwan vishnu ka rup hai use dhran karne se sari kamanaye puri hoti hai,gayarah mukh wala rudarksha rudra rup hai usko dhran karnewala manusya sarvatra vajaye hota hai,barhamukhwalrudarksha ko sir par dhran karne se mano sir pe barho aadetya virajman ho.terahmukh wala rudarksha vishvadevo ka swarup hai.our chodha mukhwala rudarksha paramshivrup hai.
rudraksha ki mala dhran karne wale manushya ko dekhkar bhut,pret,pishach,dakini, shaakini, jo bhi ho sab dur bhag jate hai,rudraksha dhran karne wale ko dehkkar me vishnu, durga, ganesh, surya tatha anya devata prasnan ho jate hai ,bhagwan shiv ne jo kaha hai rudarksha ke bare me vahe mene lekha hai shiv puran ke anusar.