SHIVPURAN --SATRUDRASAHITA [dwadasa jyotirlinga]

in om •  7 years ago 

SHIV JI KE DWADASHA JYOTIRLINGAVATAR KA SAVISTAR VARANAN--
nandishwer ji kahte hai - mune ! ab tum sarvvyapi bhagawan shankar ke barah anya jyotrlingswarupi awatro ka varnan karo, jo anek prakar ke mangal karne wale hai. [unke ye naam hai]
saurashtra somnath
shrishail -mallikarjun,
ujjyeni - mahakal,
omkareshwer - amreshwer,
himalaya - kedar,
dakini - bheemshankar,
kashi - vishavanath,
goutamitat - trayambkeshwer,
chitabhumi - vadhyanath,
darukvan - nageshwer,
setubandh - rameshwer,
shivalaya - ghushameshwer,
mune ! shambhu ke ye hi barah avatar hai , ye darsan karne our sprash karne se manushayo ko sab prakar ka aanand prapat karte hai, mune unme pahla avatar somnath ka hai ,yaha chandrma ke dukha ka vinash karne wala hai, inka pujan karne se kshaya rog kusthrog ka naash ho jata hai yaha someshwer namak shivaavatar sorastra namak pawan prdesh me lingaroop me stith hai. purvakal me chandrma ne inki puja ki thi vahi sampuran papo ka vinash karne wala ak chandr kund hai, jisme snan karne se budhimaan manushya sampuran rogo se muket ho jata hai.
download.jpg
shankar ji ka mallikarjunnnaamk dusra avatar shrishail par hua. vaha bhakto ko abhiast fal prdan karne wala hai, mune ! bhagawan shiv param prasnanatapurvak apne nivasbhut kelashgiri se lingroop me shrishail pe padhare hai putraprapti ke liye inki stuti ke jati hai, mune jo dusra jyotirling hai vaha pujan karne se mahashukhakarak hota hai our anta me mukti bhi pradan karta hai----isme tanik bhi sansya nahi hai,

images (7).jpg
shankar ji ka mahakal naam ka tisra avatar ujjaini me hua,vaha apne bhakto ki raksha karne wala hai, ak baar ratnamaal nivasi dusan namak asur, jo vaidik dhram ka vinasak,vipradrohi tatha sabkuch nast karnewala tha,ujjyani me ja pahucha tab ved naamak brahman putra ne shiv ji ka dhyan kiya fir to shanker ji ne turant prkat hokar hunkar dwara us asur ko bhsam kar deya fir devatayo ke pratharna karne par vahi mahakaal ke roop me prtisthit ho gaye,inka pujan karne se mansuyaki sari kamanaye puri ho jati hai.

images (9).jpg
shambhu ne bhakto ko abhiast fal prdan karnewala omkar naamk chootha avatar dhran kiya. mune ! vindhyagiri ne bhaktipurvak vidhi vidhan se shiv ji ka parthivling sthapit kiya us ling se vindhya ka manorath pura karne wale mahadave prkat huye devtayo ke prarthna karne par bhukti- mukti prdata ling roopi shankar vaha do rupo me bibhakat ho gaye unme se ak omkareshwer our dusra parmeshwer naam se prashidh hua.
images (8).jpg

images (11).jpg
parmeshwer--

bhagwan shiv ke pachva avatar ka naam kedaresha hai vaha kedar me jyotirling roop me sthita hai. mune ! vaha hari ke jo nar - narayan naamk avatar hai, unke prarthna karne par shiv ji himgiri ke kedar shikhar par sthiat ho gaye ve dono us kedareshwer ling ki nitya puja karte hai vaha shambhu k pujan karne wale bhakto ko abisat prdan karte hai. he taat ! sarveshwer hote huye shiv ji is khand ke visesha roop se swami hai.
kedareshwer---

download (6).jpgmahprabhu shiv ke chate avatar ka naam bheemshankar hai is avatar unhono ne badi badi lilaye ki hai our bheemasur ka vinaasha kiya hai. kaamroop desh ke raja sudakshin shiv ji ke bhakat the bheemasur unhe pidit kar raha tha tab shankar ji ne apne bhakto ko dukha dene wale us adabhut asur ka vadha karke unki raksha ki fir raja sudakshin ke prarthna karne par swayam shankar ji dakini me bheem shankar naamak jyotirling ke roop me sthita ho gaye jo samast bhog our moksha ke pradata hai.
bheemshankar--
download (5).jpg
visesha naamak satawa avatar kashi me hua, muktidata sidhaswaroop swyam bhagawan shankar apni puri kashi me jyotriling ke swaroop me hai vishnu aadi sabhi devta,kelashapati shiv our bherav nitya unki puja karte hai jo kashi viswanaath ke bhakat hai our nitya unke naam ka jap karte hai ve karmo se nirlipat hoker kevelya pad ke bhagi hote hai.
kashi vishvanaath----
download (4).jpg
chandrsekher shiv ka jtrayambkam aathva avatar hai vaha goutam risi ki prarthna par goutmi nadi ke tat par prket hua. goutam ke prarthna se un mune ko prasanan karne ki liye shakanr ji vaha sthiat ho gaye , unka darsan spras maatra se saari kamnaye puri hoti hai.
tryambakam---
download (3).jpg

shiv ji ka noova avatar vadhyanath naam se prasidha hai is avatar me bahut se lila karne wale shankar ravan ke liye avirbuth huye the us samya ravan dwara apne laye jane ko hi karan manker meheshwer jyotiling swaroop me chita bhumi me pratistha ho gaye.
vadhyanath ---
download (2).jpg
daswa avatar nageshawer hai ,daruk naam ke rakkshas ke liye pradurbhva hua tha,daruk naamke rakkshas ko markar apne suprya naam ke bhakat ki rakksha ki thi,tatpaschat bhut se lila karnewale shankar loko ka upkar karne ke liye jyotrilingnke roop me sthiat ho gaye.
naageshwer---
download (1).jpg

shiv ji ka gayarahva avatar rameshweravtar hai,vaha ramchandr ji ka prya kahlane wala hai use shri ram ne hi sthapit kiya thashankar ne ram ko vijya ka vardan deya tha ve hi ling roop me avirbuth huye ,ram ki pararthna karne per ve setubandh par jyotirling roop me sthita ho gaye ram ne unki bhli bhati puja ki rameshwer ki tulna bhutal par kisi se nahi ki ja sakti.
rameshwer----
download.jpg
ghushameshawer shankar ji ka barahava avatar hai ,ghusma ka prya karne ke liye daveshail ke nikat sarovar se prakat huye the , mune ! ghusma ke putra ko sudeha ne maar dala tha use jivit karne ke liye ghusma ne shiv ji ki aardhna ki thi to shiv ne uske putar ko bacha liya tadantar ve jyotirling ke roop me sthit ho gaye.

images (12).jpg

jo bhkti se eshe padhata hi ya sunta hai uski saari kamanaye awasya hi puri hoti hai.

download (7).jpg

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!