risiyo ne kaha - mahabhag sutji !aapne apne bhakto ki rakksha karewale mahakal shivling ki badi adbuth katha sunai hai ab krapa karke chaturtha jyotirling ka parichya dejiye - omkar terth mai sarvpatakhari parmeswer ka jo jyotirling hai, uske avrbhav ki katha sunaiye.
sutji bole - maharisiyo ! omkar tirth me parmessangyak jyotirling jis prkar prket hua, vah batata hu, prem se suno, ak samya ki baat hai bhagwaan narad muni gokarn naamk shiv ke samip ja badibhakti ke sathaunki seva karne lage kuch kal ke bad ve munishresth vaha se giriraj vindhya par aaye vindhya ne bade aadr ke satha unka pujan kiya , mereyaha sabkuch hai kabhi kisi baat ki kami nahi hoti hai is bhav ko man me leker vindhyachl narad ji ke samne khada ho gaya ,unki yaha ahankar bhri bat sunkar ahankarnasak narad muni ne lambi saas khech kar chuchap khade rah gaye yeh dekhkar vindhya parvat ne pucha aapne mere yaha kon se kami dekhi hai ? aapke is tarha lambi saas khechne ka kya karan hai ?
narad ji ne kaha - bhiya tumhare yaha sabkuch hai fir bhi meru parvat tumse ucha hai uske shikhro ka vbhag devtao ke loko me bhi pahucha hua hai. kintu tumhare shikhr ka bhag vaha kabhi nahi pahuch saka hai .
sut ji kahate hai - asha kahkar narad ji vaha se jis tarha aaye the us tarha chal diye, parntu vindhya mere jivan ko dhikkr hai asha sochta hua man hi man santapt ho utha , acha me ab viswanath bhagwan shamhu ki aardhnapurvak tapsya karunga asha nischya karke vaha bhagwan shanker ke saran me gaya tadananter ve jaha omkar ki stithiti hai vaha prasnantapurvak jakar usne parthiv murti banai our chah maas tak shiv ki aaradhna karke shiv ke dhyan me tatapar ho vaha apni tapsya ke sthan se hila tak nahi . vindhya ki ash tapsya dekha parvatipati prasnan ho gaye unhone vindhyachal ko apna vaha rup dekhaya jo yogiyo ke liye bhi durlabha hai ve prasanan ho usse bole - vindhya ! tum manovanchit var mango mai bhakto ko abhist var dene wala hu our tumhari tapsya se prasnan hu .
vindhya bola - he sambho ! aap sada hi bhaketvatasal hai yadi aap mujha par prasanan hai to mujhe vaha abhiast budhi pradan kijiye ,jo apne karyo ko siddha karne wali ho .bhgawan shankar ne use vaha uttam var de deya our kaha parvatraj vindhya ! tum jesa chaho vesa karo, esi samya devta tatha nirmal anthakaran wale risi vaha aaye our shanker ji kinpuja karke bole - prbho aap yaha sthir rup se nivas kare, devtao ki yaha bat sunkar shiv ji prasann ho gaye our loko ko sukh dene ke liye unhone sahrs vesa hi kiya vaha jo ak hi omkar ling tha bo do swarupo me bhibhaket ho gaya prnav me jo sadashiv the ve omkar naam se vikhayt huye our parthiv murti me jo shiv jyoti prtisthit hui uski prmeswer sangya hui ,permeswer ko hi amleswer kahte hai. is prakar omkar our parmeswer ye dono shivling bhkto ko fal prdan karne wale hai. us samya devtao our risiyo ne un dono lingo ki puja ki our bhagwan ko santust kar unse bahut se var prapat kiye tatpaschat devata apne apne sthan ko gaye our vindhyachal bhi adhik prasananta ka anubhav karne laga usne apne abhist karya ko siddha kiya our mansik paritap ko tyag diya jo bhi is prakar shankar ka pujan karta hai vaha abhist fal ko prapat kar leta hai.isme sansya nahi hai.
Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!