bak raha hun aaj kal hizyan baqi KHair hai

in poem •  7 years ago 

bak rahā huuñ aaj kal hizyān baaqī ḳhair hai
aur lāhaq hai zarā nisyān baaqī ḳhair hai
kaar mere yaar kī thī aur phir chorī kī thī
ho gayā hai chuuk meñ chālān baaqī ḳhair hai

ghaas bhī ugtī nahīñ hai baal bhī ugte nahīñ
ban gayā hai sar mirā maidān baaqī ḳhair hai
fikr kī to baat koī bhī nahīñ hai jān-e-jāñ
ghar meñ haiñ bas darjanoñ mehmān baaqī ḳhair hai

ek arsa ho gayā hai raat din thāne meñ huuñ
aur chhuTne kā nahīñ imkān baaqī ḳhair hai
jis kā bañgla dekh kar ghar-bār ko chhoḌā gayā
vo to yaksar ho ga.ī anjān baaqī ḳhair hai

bah rahī hai rāt-bhar se naak sar meñ dard hai
aur kuchh sunet nahīñ haiñ kaan baaqī ḳhair hai
saal se hai saas merī dākuoñ kī qaid meñ
māñgte haiñ vo baḌā tāvān baaqī ḳhair hai

hai zarā ḳhārish sī dādā-jān ko laqvā bhī hai
aur haiñ bīmār dādī-jān baaqī ḳhair hai
kal se hai bachchī ko haiza aur bachche ko buḳhār
sab se chhoTe ko huā yarqān baaqī ḳhair hai

baat ab tashvīsh kī koī nahīñ aisī 'fahīm'
duur tak miltā nahīñ insān baaqī ḳhair hai

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!