Tahnī pe kisī shajar kī tanhā
bulbul thā koī udaas baiThā
kahtā thā ki raat sar pe aa.ī
uḌne chugne meñ din guzārā
pahuñchūñ kis tarah āshiyāñ tak
har chiiz pe chhā gayā añdherā
sun kar bulbul kī āh-o-zārī
jugnū koī paas hī se bolā
hāzir huuñ madad ko jān-o-dil se
kiiḌā huuñ agarche maiñ zarā sā
kyā ġham hai jo raat hai añdherī
maiñ raah meñ raushnī karūñgā
allāh ne dī hai mujh ko mash.al
chamkā ke mujhe diyā banāyā
haiñ log vahī jahāñ meñ achchhe
aate haiñ jo kaam dūsroñ ke