Agar Kabhi Mery Yaad Aay

in poetry •  7 years ago 

Agar kabhi mery yaad aay
to
Chand raton ke naram dilgeer roshny main
Kisi sitaray ko dekh lena
Agar wo nakhl e falak say ud kar
Tumharay qadmon main aa giray to
Yeh jan lena wo mera dil tha
Agar na aay
Magar yeh mumkin he kis tarha hai
K tum kisi per nigah dalo
to uskki dewar e jan na tootay
Wo apni hasty na bhool jay

Agar kabhi mery yaad aay
to
guraiz karty hawa ke lehron pe hath rakhna
main khushboon main tumhain milon ga
tum oss qatron k aaino main talash karna
main pattiyon main tumhain milon ga
agar hawaon main, khushboon main, oss qatron k aino main
na pao mujhko
to
apnay qadmon main dekh lena
main gard hoti musafton main tumhain miloon ga

Kahein pay roshan charag dekho to jan lena
k
har patangay k sath main bhi jal chuka hoon
tum un parindon ke rakh darya main dal dena
main samandron main safar karoon ga
kisi na dekhay hooy jazeeray pay ruk k
tum ko sadain doon ga
agar kabhi samondron k safar pay niklo
to
uss jazeeray pay bhi utarna

(Writer; Amjad Islam Amjad)

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!