Sanju movie preview

in sanju •  7 years ago  (edited)

Hy friends.....
aaj mai lekar aaya hu sanju movie ka Pre-View lekar..
jesa ki aap sab jante hi hoge ki sanju movie Sanjay datt ki biopic par based hai... jisme main lead role actor ranveer kapoor play kar rahe hai...
and ranveer ke alawa bhi usme bahut se charracter hai jo sanju ki story se inspired hai...
aapne trailer me dekha hoga ki kaise sanjay datt ka vivado se purana nata raha hai.. but unki jo life story hai wo bahut hi interesting rahi hai... jo unki movie me dikhaya jayega...
unki girlfriends ke bare me and unki real story sab is movie me dikhaya jayega..
but jaisa ki ham sab jante hai ki filmo me puri realty nahi dikhate kyu ki usse unki kuchh personal things jo kabhi wo share nahi karna chahte wo bhi samne aa jati hai.... isliye movie me bas utna hi batate hai jo sab ko achha lage and kuchh alag se bhi try karne ki kosis ki jati hai...
for example madhuri dixit ki story ko movie me jyada nahi dikhaya gaya hai... jabki ham sabko pata hai ki sanjay datt aur madhuri dixit ka affair bahut lamba chala hai but wo is movie me bahut kam samay me hi samet diya hai,, kyo ki wo personal matter hai unka.. and wo is movie me ise nahi dikhana chahte the... or sidhi si bat hai yrrr ab sab kuchh to bata nahi sakte na....
is movie me jo dialouge hai wo bhi bahut jabardast hai jaise ki "mai bawda hu, tharki hu, drug addict hu, sab hu lekin terrorist nahi hu" aise hi kai dialouge movie me dekhne ko mil sakte hai.. jisse movie ka maja badh sakta hai.......
Ranveer kapoor ne bhi shandar abhinay kiya hai, wo ek dum sanju bawa ki tarah hi lag rahe hai.. koi kah bhi nahi sakta ki ye sanju nahi hai....... ek dum perfect kiya hai ranveer ne..
ek scene me biographer anushka sharma puchhti hai ki aapke kitne affairs hai to sanju jabab dete hai ki 350 ke aas paas to hoge hi...
itni khoobsurti se movie ka screenplay kiya gaya hai ki aap khud sochne par confused ho jaoge ki aakhir ye hai kya....... matlab bahut hi shandar abhinay kiya hai ranveer kapoor ne..... and another way bahut hi khubsurti se is movie ko banaya gaya hai....
suneel datt ka role paresh rawal play kar rahe hai.,.. jo ki ek manjhe huye kalakaar hai... or unhone bhi apne abhinay ki chhap chhodi hai...
ranveer kapoor ke alawa is movie me sonam kapoor, anushka sharma, paresh rawal bhi is movie me dikhayi dege..
ek scene me sanju bheekh magte huye dikhayi dete hai... jo ek emotional scene hai.. is movie me sanju ki struggle life bhi dikhayi gayi hai.. ki kaise unhone struggle kiya hai.. unka actor banne me koi khas dilchaspi nahi thi par pita suneel datt ke liye unhe acting me aana pada.. fir kaise unhone drug lena shuru kiya sab is movie me dikhaya jayega...
yeh ek bahut hi interesting movie hone wali hai jo shayad ranveer kapoor ke carrier ko fir se patri par lane me kamyab ho sakta hai.. and unhe fir se star bana sakta hai..
"Sanju" ek blockbuster movie ho sakti hai, ye ek achhi movie ho sakti hai, and ranveer kapoor ko ek achha break de sakti hai....
yeh ek dramatic and enigmatic movie hai, jisme sanjay datt ki struggling and success ki story hai, agar bat kare is film ke budget ki to ye ek high budget movie hai.. jise banane me aur promotion me kul milakar 80 cr. ki laagat aai hai..
Release date- 29/06/2018
Budget cost - 80 cr.
Run time - 155 min (2:35 hr)
Buisness - 150+ cr.
agar bat buisness ki kare to ye lagbhag 150 cr ke paar to jaa hi sakti hai.. jise ek blokbuster kaha jaa sakta hai...
and movie kaisi hai and uske review kaise hai.. ye to movie release hone ke bad hi pata chalega...
.
.
and if you have interesting in this post than please visit my website www.bindass-blogspot.com for more story.

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!