SHRI BHGWAN KHTE HAI - prye ! ab mai chothe adhyaya ka mahatam btata hu, suno - bhagirathi tat par varansi naam ki puri hai vaha visvanath ji ke mandir me bhrat naamke ak yognisth mahatama rahte the ve aatm chintan me tatpar ho aadrpurvak gita ke chturth adhyay ka path kiya krte the ak samya ki baat hai ve tpodhan nagar ki sima me devtao ke darsan ki iksha se bhrman karte huye nagar ke bahar nikl gaye, vaha ver ke do vrkish the unhi ki jad me ve vesram krne lage, ak vriksh ki jad me unhone apna mastak rakha dusre vriksh ke mool me per thodi der ke baad jab ve tapsvi chle gaye tab ve dono vriksh sukh gaye , iske paschat dono ne kahi brahman ke ghar me kanya ke roop me janm liya, ve kanya jab saat vars ki ho gaye tab ak din unhone dur desh se ghum kar aate huye bhratmuni ko dekha dekhte hi ve bhratmini ke chrno me gir mithi vani me boli mune aapki hi kripa se ham dono ka udhhr hua hai hame ver ki yonityag manusya yoni prapt hui hai yaha bhratmuni ne pucha kab our kese? yaha bhi btao ki ver vriksh hone ka karn kya tha.
tab ve kanya apne ver hone ka karn btati hui boli godavri tat par satyatapa risi ke tap se bhyabhit indr ne ham dono apsrao ko bula unki tpsya me vighn dalne ka aadesh diya, our hamre dwara un mahtma ki tpsya me vighn dalne se unke man me krodh ka sanchar hua to unhone hame saap de diya tum dono gangatat par vervriksh ho jao, yah sun hame unse sapodhhr ke liye kshma magi to unhone kaha bharmuni ke aane tak yah saap tum dono par lagu hoga our uske baad tumhara mrtyulok me janm hoga our tum dono ki smrti bani rahegi.
jab hamdono vervriksh ke roop me khadi thi us samya aapne hmare samip aakr gita ke chothe adhyaya kajap kiya isse hmara udhhr ho gaya, un dono ke is prakar kahne par muni prsanan huye our unse pujit ho vida le chle gaye, ve kanya bhi prtidin gita ke chothe adhyay ka path karne lagi jisse unka bhi udhhar ho gaya. ....contnue ....
Thanks madam sharing Bhagwant I like it
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit