Lords mein England ke khilaf dusri Test mein Team India karna para ek sharamnaak haar ka saamna. Dusri innings mein sirf 130 runs pe dher ho gayi Virat Brigade. Parinaam, England ko mili ek innings aur 159 runs ki ek bohot badi jeet.
Pehli innings mein India ki 107 Runs ka piccha karte huye Test ke tisre din maidan mein utri Joe Root & Company. Tisre din ka khel khatam hone pe England ka score 357-6. Aaj Sunday ko wahi innings agey barate huye England ne sirf ek wicket khoke kiye 396 Runs aur Joe Root ne kiya innings declared. England ka score 396-7 dec.
289 Runs se picchar chuki Team India aaj utri dusri innings khelne ke liye. Lekin British bowler ke saamne taas ke patto ke tarah phir bikhar gayi Indian Batting Lineup. 0 Runs pe hi gir gayi India ki pehle wicket, batsman Muril Vijay huye James Anderson ke shikar. Iss ke baad ek ek kar ke gir ne lage KL Rahul (10), Cheteshwar Pujara (17), Virat Kohli (17), Hardik Pandya (26) aur Dinesh Karthik (0). India ki 7ui Wicket giri 84 runs pe. Sirf 13 runs bana ke Stuart Broad ke shikar huye Ajinkya Rahane. Jahan 7 batsman bas 84 runs pe dher ho gaye wahan tailenders bhala kahan tak tik paate. 130 runs pe khatam ho gayi puri team ki paari. 33 Runs pe nabad rahe Ravichandran Ashwin. 4-4 wickets mili James Anderson aur Stuart Broad ko. James Anderson ko mila Murli Vijay, KL Rahul, Kuldeep Yadav (0) aur Mohammed Shami (0). Aur Stuart Broad ne jhatke Pujara, Rahane, Kohli aur Rahane ki wicket. Chris Woakes ne liye Hardik Pandya aur Ishant Sharma (2) ki wicket. England ko mili Ek innings aur 159 ki ek bari jeet. 5 Test Matches ki Series mein England 2-0 se agey.
Man of the Match ka award mila James Anderson ko Pehli innings mein 5 aur dusri innings me 4 wickets ke badaulat.
Scorecard:
India: 107 & 130 and England: 396-7 dec.
Posted using Partiko Android