Doobna

in story •  7 years ago 

Aacharya Ramkrishan Paramhans or vivekanand ke bich guru chella parampara ka jo darshan tha, wo boht kam jagaho par dekhne ko milta hai. Agar acharya mahan guru the, to isme koi do raay nahi ki vivekanand bhi mahan sisya the. Dono ke sambandh me gaur karne waali baat yeh thi ki paramhans jaante the, sisya ko kaise maanja jaata hai. Iske liye aksar ramkrishan vivekanand se sawal puchte fir unhe sahi uttar dete. Koi uljhaane waali samasya btate, jis se nikalne ka raasta wo unse puchte. Or vivekanand jab us swawl me uljh jaate to paramhans unko raasta sujhate. Is tarah se unhone apne sisya ko har parkar se khoob tapaya or pakaya. Fir jab wo chamka to duniya ne iski chamak dekhi. Aeise hi ek roz vivekanand ne aacharya se pucha- Narender ek pal ke liye kalpana karo ki tum ek makkhi ho or saamne rakhe is pyaale me Amrat rakha hua hai. Ab tum iske kinare baithkar ise dheere dheere saprash karoge ya turant isme bich me kood jaaoge.

Image Credits-https://pixabay.com/en/lake-water-wave-mirroring-texture-2063957/

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
Sort Order:  

You got a 2.83% upvote from @postpromoter courtesy of @dhankar!

Want to promote your posts too? Check out the Steem Bot Tracker website for more info. If you would like to support the development of @postpromoter and the bot tracker please vote for @yabapmatt for witness!