sukhdev ji bhagwat katha karte huye do bar samadhisath ho gaye unme se ak sudama chritr hai-----
sukhdev ji kahate hain-- mahagayani, jetenderye,pavetr bramana sudama krishna ke param miter hain. ye sara din prabhu seva me bitate the ye apne vidhya ka upayog bhagawan ke leye karte the. sudama ji ke ghar me daridrata ka raj tha, unke patne ka naam sushila tha,vah mahapatevrata thi, sushila ko kai dino tak bhukha rahna padata tha uske pas ak hi vastra tha fir bhi ve sudama se kabhi klesha nahi karte thi. sushila pati se prabhu katha suna karti thi,kai bar balko ko bhi khana nahi milta tha, sushila se apne baccho ke durdasha dekhi nahi gayi, ak din vyakulata se vah apne pati se kahne lagi---aap katha me kahate hain ke kanhiya ko apne mitro se bada prem hai,vaha apne mitro ke leye chori karta tha.
sudama - ha, sach hai yah bat, vaha apne mitro ko khilane ke bad hi khata tha.
sushila - to fir kyo n unse milkar apna yah dukh dur kiya jaye.
sudama - mai daridra hu, vaha jauga to log kahege ki yeha brahaman bhekh magane aaya hai, mera niyam hai ki paramatma se kuch bhi magane nahi jauga.
sushila - me tumhe magane ke leye nahi bhej rahi hu,ve to hajar aakho wale hai, apne aap hi sab kuch samajh jayege,keval unke darshn kar aao.
sudama - me yahe bath kar hi unke darshn karta rahta hu sharerik milan ke apeksha man ka milan bada sukhdayi hai.
sushila - darshan kabhi pratyaksha bhi to karmne chahiye, aapki prigya to hai kisi jiva ke dwar par na jane ki shri krishna to paramatama hai unke dwar to sabhi ke leye khule hai,vaha jane me sankoch kesa? mitra se milna he chahiye.
sudama to ghar bathe hi krishna ke darshna kar lete the, patne ke aagrah ke maran dwraka jane ko teyar huye unne socho ke mere patni har bat man lete hai mujhe bhi uski yah bat manani chahiye vo patni se kahne lage ki mitra ke ghar ja raha hu khali hath jane me koi sobha nahi hai ,ghar me bhi kuch nahi tha,patni sushila padoshi ke ghar se do mutthi tandul mang laye.dhnya hai sushila ki tandul [chawal] ka ak dana bhi ghar me nahi rakha, sare ke sare ak chithde me bandh kar prabhu ke leye de deye our kaha ki ashe bhet dene me tumhe sankoch hoga kintu kahna ki bhabhi ne yahi bheja hai.
patni ke aagrha our prbhu ke darshn ki eksha se sudama dwaraka ki or chal deye,fati hui dhoti,hath me.lakdi our bagal me tandul ki potali thi.
sushila socha rahi thi ki kai dino se bhuke mere pati vaha kese pahuch payege, mene hi unco jane ke leye vivash kiya,kintu our koi upaye bhi to nahi tha, apne balako ki durdasha bhi to dekhi nahi jati, vaha suryanaryan se prathna karne lagi -- prabhu mere pati ki raksha karna.
sudama jab dwaraka gaye to unaka sharer thand se kaap raha tha, sat dino se bhukhe durbal sudama do mil chalte hi thak gaye, ve sochte hi jate hai ki dwarka nath ke darshn hoge ki nahi raste me durblata ke karan murcha bhi aa jate thi.
udhar dwarkanath ko samachar mela ke sudama aa raha hai unhone socha ki ashe tapshavi, nisthawan, sadachari,ayachak ko pedal chalana mujhe shobha nahi deta,sudama logo se dwarkadheesh ka pata puchte hai log has dete hai vo khate hai mere mitra hai log khate hai ki bhekhari bhi kahi dwarkadheesh ka mitra ho sakta hai.
sudama prabhu smaran karta hua prabhu ke dwar par pahuchata hai, dwarpal unhe bhekhmanga samjh kar kahata jo kuch mangana hai mujhse mang lo ,ander nahi ja sakte.
sudama - me kuch mangne nahi aaya ve mere mitra hai,kahakar prabhu se melne ke leye khate hai, tum jakar kaho ki unka mitra sudama unase milne aaya hai dwarpal hanste huye prabhu se jakr kahte hie koi bhikhamana durbal sa brahaman dwar pe aaya hai uske kapde fate huye hai, aakhe ander dhashi hui hai, kapde fate huye hai uske mukha par davya tej hai hamse kuch lena nahi chahta aapko apna mitra bata raha hai.
sunte hi prabhu dwar ki or doode. sudama ko pukarte huye dwar pe aaye, raniya pareshan ho jati hai aaj tak kitne log milne aaye prabhu aaj tak kahbi vhihaval nahi huye, shri krishna ne sudama ko apne hrdaye se laga leya,apne mitra ki ashe dasha dekha kar unko atyant dukha hua,our sochne lage ki mujhe hi unse milne ke leye jana chahiye tha ,kahate hai ki mitra acha hua ki tu aa gaya.
sudama sochne lage ki kanahya vabhav pakar bhi ushe bhula nahi, rukmni chran dhone ke leye jal la rahi thi ke krishna ne ashruo ki dhar se hi unke chran dho deye, our unke paro me jute nahi hone ke karan jo kate lage the krishna apne hatho se nikal rahe the, sudama kahte hai ki nahi prabhu aap rajadheraj hai aapko yaha shobha nahi deta.
krishna kahate hai ki me tera mitra hu mai,sudama snanan se nivrat huye to unhe pahanane ke leye petambar deye bhojan ke bad unhe palang pe betha kar krishna unki chran seva karne lage,puchte hai ki mitra marg me tumhe bahoot kashat hua hoga, sudama purani bat karte hai ab gurukul jesa aanand kaha.
krishna kahate hai mitra tujhe khalne ki to aadat thi nahi me tujhe khlne le jata tha tujke yad hai bo din jab ham samidha lene gaye the musladhar barish hame ak briksha ka aasra lena pada tha .usa din sudama ke paas kuch chane thi jo bo akele khana lage awaza sun krishna ne pucha ki bo kya kha rahe hai sudama ne socha ki bo bata duga to krishna ko bhi kuch chane dene padege, to unhone kaha ki thand ke mare dant baj rahe hai,[akele khane wale ko daridra hona padata hai eshi karan se sudama daridr ho gaye the] vahi krishna ko sudama ki chran seva karte dekh raniyo ko bada ashachyra hua ye brahaman to bada bhgyashali hai, krishna sudama se puchate hai ki vivah keya ki nahi kashi hai mere bhabhi, sudama kahte hai patni sushila hai santan bhi hai sudama ne sab kuch bataya par apne daridrata ke bare me kuch nahi bataya,kaha ki tere bhabhi ke anurodh se hi mai tujhse milne aaya hu, krishna kahte hai ki bhabhi ketni supatra hai mee leye kuch bheja to hoga hi sudama tandul ki potali sankoch se chupa rahe the bhagwan man me sochte hai us din bhi chupa raha tha aaj bhi chupa raha hai ye to mujhe deta nahi hai mujhe hi chenana padega socha kar unhone tandul ki potali chena li our tandul khane lage our kahate hai gokul me eshi prakar se mere mata mujhe tandul khelati thi yasoda ko yad kar krishna ki aakhe nam ho jate hai.ak mutthi tandul khakar pure dwaraka ka aswarya sudama ke ghar bhaj deya.
sudama ne daredrata ke bat krishna ko nahi btayi to krishna ne ashwrya dan ki bat bhi nahi batayi, sudama agle din chlne ki tayari karne lage to socha ki prabhu do char din rukne ka aagrah karege,kintu krishna ne asha nahi kiya kyo ki sushila pati ke darshn ko bhukhi bathi rahege yaha soch,sudama apne purani dhoti pahan kar jane ko teyar huye jate huye bhi unhone kuch nahi manga krishna dawar tak chodne gaye our kahne lage abki bar bhabhi ko sath lana unko mere vandan kahana sudama ko gale laga kar bida kiya dono ke aakho me ashru bhar gaye.
sudamapuri pahuch sudama apni purani jhopadi dhudane lage vaha mahal tha,sudama ke aane ki khabar sun sushila doodi aati haoi our kahti hai ye sab aapki krapa se hua hai, sudama ka man kritagyata se bhar gaya ve kahne lage mujhe dhan ki apaksha nahi thi mi to yahi chahata tha ki mujhe janam janam krishna ki bhakti karne ka avasar milta rahe, unke chrno me mujhe stahan mile.
sudama ne krishna se,krishna ne sudama se nirapaksha prem kiya tha,adbuth thi yah dosti.u