How to Change the Font in WordPress Post With Plugin

in wordpress •  7 years ago 

Aaj main aap ko ek badhiya WordPress plugin ke bare me bataoga . joki bina kisi coding ke aap ke blog ko ek naya look de sakte aur jisse aap ka kaam bahut hi aasaan ho jayega.

Last week mere ek blog par ek user ka comment aayaa aur unka swal tha (Genesis child theme me font kaise change kare?) yah yakinan ek important question hai kyoki wordpress me kai plugin maozood hai lekin unme se kai aise bhi hai jo bekar hai isliye unhe iss question ka answer dene ke pahle mere liye bhi yah zanna bahut zaroori tha ki ek child theme ke liye font changing plugin kon sa hai, kyoki hum apne user ko sahi aur trustful answer dene me believe rakhte hai, well iss swaal ke jwab ke liye pahle maine kai saare wordpress plugin download kiye jinme se kai bakar the lekin last me mujhe ek behtar plugin mila joki aap ke wordpress post ko ek behtar look ke saath customize karta hai jiska naam hai ”TinyMCE Advanced” Plugin.

tinymce advance

iski madad se aap apne hisab se, WordPress post ko Costomize kar sakte hai. for example aap iske editor toolbar me apne hisab se ek Table add kar sakte hai. Or wo bhi bina koi HTML Code likhe, aap TinyMCE advanced ki madad se table, font size aur style jise action kar sakte hai wo bhi bina HTML code ke. aaj hum aap ko Isi se related bate batayege ki aap WordPress ke TinyMCE Advance me wo kaon se extra feature hai jo ki aap ke liye use full hai.

Jaisa ki aap jante hai wordpress ke plugin me aap ko kai baar Table, font style or font size jaise advance plugin ki zaroorat padhti hai. joki wordpress me maozood nahi hai leki TinyMCE Advance aap ko yah sabhi feature deta hai.

TinyMCE advanced features
Table
tinymce advanced

Iski mdad se aap wordpress ke post me ape jaroorat ke acording directly table create kar sakte hai vo bhi itna easy ki aapko bas drag and drop hi karna hai aur aapke post me table create ho jayega.aap is table ke look ko bhi edit kar sakte hai jaise border thickness ko kam jada karna.border ko color dena.aap chahe to table ke background ko bhi color kar ke apne post ko unique bana sakte hai.

Special character
tinymce advanced

Special Character box ka use kar ke aap apne post me aise bhut se character ko insert kar sakte hai jo ki wordpress me aapko dekhne ko nahi milta.

Best Adsense Alternative For New Bloggers in Hindi

font size
tinymce advanced

Kafi log wordpress me post likhte hai aur yha aapko agar apne font size ko badhana ho to aise plugin ki jaroorat pad hi jayegi jo aapke is mushkil ko hal kar sake is liye yaha TinyMCE Advanced Plugin aur bhi jada important roll nibhata hai.

Font style
tinymce advanced

TinyMCE Advanced Plugin me sabse best feature mujhe yhi laga ki aap apne post me alag alag font ko easily use kar sakte hai aur yha aapko bhut se font milte hai jo useful hai.

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
Sort Order:  

Hi! I am a robot. I just upvoted you! I found similar content that readers might be interested in:
https://www.growamis.com/how-to-change-the-font-in-wordpress-post-with-plugin/