Adhuray log "
apny chotay chotay hathon sy asman ki tarf ishara kr usny bola " mama ye chand sitaray aik dusray sy itnay door q hain ?
" q k unki kismat mn milna nae hota mery gulab"
jis umer mn bachy car or doll sy khailty hn us umer mn wo Aasman mn khoya rehta tha, shyd wo sb sy alag tha.
Ziada sochny wala or thora sharmany wala to wo tha he, lakin apny papa ki death sy mazeed sanjeeda ho gea.
Ab wo din raat parhai mn lag gea q k 5th mn achy Grade lay kr apni maa ko pehli khushi dena the Lakin Gareeb k Ghar Bijli nae the.
Gareeb k ghar paida honay walay shyd "Muqader" k b gareeb hotay. Muqader b inko khoob azmata hy 1 k baad 1 Qurbni ik jehd-e-Musalsal ki terhan, jaisy Hijrat kernay walay Nasal der Nasal Qurbanian detay hn.
Raat ko chand sitaron ko daikhtay daikhtay soo janay walay Bachay ny bht sy din, raatain guzar d then. Ab wo university parhnay wala aik jawan tha.
Jis chand k Romance mn bachpan sy Mubtila tha usy kia khabr the wo 1 din Aik larki k roop mn usky samnay aaey ga or jiski Roshni mn sab sitray mand per jaen gy. Wo sab sy Haseen larki the. Jisko 1 nazer daikhny ko larky Maray jaty.
Na cahahtay hoay b wo usko Chanay lag gea tha. Us Larki ki 1 jhalak daikhny ko Ghanton University Guzarny laga.Her Dua , Her Sajday mo uska "DEEDAR" OR uski Talab kerny laga.Her Deedar pr wo usko kismat ka Likha smjta or 1 umeed jaga leta, or wo pal uski zindgi ka sb sy haseen pal bnnjata.
Ziada naik to nae tha bs " Kisi ka DiL nae dukhana, Dusron k Liay apni Khuwahish ko maar dena, Or Dusron ki galt bt b berdasht ker jana" usny apni Maa sy sekha tha q k Khuda to daikh rha hy.
Jazbat to usky thy per usny bachpan sy unko "Dabana " or "Marna" b seekh lea tha. Jab koi larki us sy apny jazbat ka izhar kerti to wo Muskra k tall deta tha q k usko to dusron ko khush rakhna tha kisi ka dil nae torna tha.
Jis Shakes ny apny Doston ko kabi "i love you" na bola, apny jazbat, apni Mohabbat, or sab Izhar Apni "RANI " k liay Sambhalay baitha tha, Shyed her Ashiq ki terhan wo b apny Mehboob k "Inqaar" sy derta tha.
Is dunia mn b 3 terhan ki dunia hy.1 Riyazi (Math) ki jis mn 2+2=4 hoty hn. 1 science ki jis mn "Every Reaction has a reaction opposite but equal in reaction hota hy".
Or ik Mohabbat ki dunia, Jis mn na koi reaction opposite or equal hona zarori hy or na 2+2=4, is dunia mn 99% ko 100% honay k liay special one "1%" ki zarorat hoti hy werna adhora 99%.
2 saal tak apnay ISHQ ko palnay k bad Bila Akhir k wo MOhabbat k pass apni Dherkano ko sambhaltay hoay gea or kch kehna chaha.
Excuse me! mn aap sy kch kehna hy
"RaNI" Ap k jazbat ko izhar ki zaroort nae. Mein janti hn. i dont want to hurt you, but am commited,
Operation Theater mn laity hoay usny apny haseen pal yad keay q k usky to apny dil mn surakh tha, usny to apny dard chupany thy q k usko to dusron ko khush rakhna tha.
#creativewritingcontest2