Savior - the rakshak ( update 1 )

in hindistory •  6 years ago 

Update 1

Hamare galaxy se bhi dur ek dusre galaxy me ek grah hai .. Jiska naam sworda hai .. Dharti se aur galaxy ke kayi dusre graho ke mukable sworda grah ek bahut hi unnat aur shanti priya grah tha .. Bigyan me sworda ka mukabla sayad hi koi grah kar paye kisi galaxy me .. Isliye unko guardian of the galaxy bhi kaha jata tha .. Kiu ke unke unnat bigyan aur shanti priya swabhaw ke karan ..

Sworda ke log dikhne me insano jaise hi hote hai lekin unka skin silver hota hai aur ankhe nili .. Unme kuch aur khas khubi bhi hai ..

Lekin usi galaxy me ek aisa grah bhi tha jo sworda ke kamyabi se jalta tha .. Aur andar hi andar ek maha bhayankar planing chal rahi thi ..

Idhar sworda grah me palace ke ek khas bade conference hall me meeting chal rahi thi ..
Ek taraf ek bade takht pe sworda ke king baithe huye the .. Aur unke aage kayi sare saink aur scientist aur mantrigan …

Unhi sainko mese ek khade huye jo dikhne me sainko ke mukhiya the …
Mukhya sainik .. My king jaise ke aap ko pehle hi pata hai lohan grah kuch bhayankar sadyantra racha hai hamare khilaf lekin wo kya hai hame abhitak pata nahi chala lekin jo bhi hai wo jald hi hone wala hai ..
Mahamantri.. My king musibat hamare darwaje tak pahuch gayi hai aab bhi khamosh rahna kya uchit hoga ..
King gara .. Mahamantri hum sab samajh rahe hai lekin hum unke had tak to nahi gir sakte na ...hame unka sadiyantra nahi pata samay nahi pata hum kis bina pe unpe hamla kare .. Puri galaxy hame guardian ke tor pe janti hai .. Hum agar bina kisi sabut pe unpe hamla karenge to hamare grah ka samman kya rahega …
Saink .. My king lekin hame kuch to karna hi hoga na .. Aise hath pe hath rakh ke baithne se unko badhawa mil jayega …
King gara .. Jaan se badhkar hai samman hum unke rokenge unki jo bhi sadyantra hogi hum use bifal karenge .. Hamare bigyan me utni khsamta to hai .. Hamare in kabil sinentist pe mujhe pura bharosa hai .. Ye hame nirash nahi karenge …
Tabhi ek scientist khada hua bolne ki izazat mangne laga …

Scientist .. My king jaise ke aap ne kaha tha humne kaam suru kar diya hai .. WO chij to taiyar hai lekin ..
King .. Lekin my king wo bahut hi Jada khatarnak hai .. Hamare pass jitna bhi tha pura istemal karke humne wo bana to liya hai lekin usko istemal karna aur control karna kisi machine ki Bas ki baat nahi .. Use koi aise hi sambhal nahi sakta ..
King gara .. Samjha nahi aap kya kehna chahte hai …
Scientist.. My king hamare yodha mese koi bhi use istemal nahi kar payega .. Kisi bhi ek paripakwa jeev ka dimag kayi sari bicharo se bhara hota hai jinme kuch buri kuch achhe bichad hote hai .. Agar us hathiyar ko kisi bhi paripakwa jeev ke hatho me de diya to turan hathiyar ki negative energy use apne kabu me kar legi phir wo sirf us hathiyar ka gulam ban ke rah jayega …
King .. To kya us hathiyar ko istemal karne ka koi tarika nahi ..
Scientist .. Ek tarika hai agar koi aisa mile jiska dimag puri tarah blank ho jisme abtak kabhi bhi ek pal bhi kabhi buri soch ko dimag me nahi laya ho agar ye hathiyar uske jisam me hamare recreation technology ke madhayam se sthabit kiya jaye to ye kaam kar sakta .. Hathiyar ke power ko absorb karte waqt us jeev me koi bhi buri soch nahi hogi jisse hathiyar ki negative energy ka koi asar uspe nahi hoga .. Aur only positive energy hi active ho payegi .. Baki us jeev pe hoga samay ke sath wo hathiyar ko kabu kar payega ke nahi .. My king ye ek bada gamble hai jiske success hone ke 50/50 chances hai …
King gara .. 50/50 ha hmm lekin aisa kon hoga jisne abtak ek baar bhi kabhi kuch bura nahi socha hoga …
Scientist .. Hamare hisab se aisa koi bhi noujawan nahi hota jiske dimag me negative thinking kabhi nahi aayi hogi ..
King .. To phir ..
Scientist .. My king sayad apne suna nahi aisa koi noujawan nahi hota .. Lekin aaj kal me janma balak jiska dimag abhi blank hai jisne abtak duniya ki koi bhi burai nahi dekhi ..
Pura hall ek sath bol utha .. Kyaaaa…
King .. Chiff scientist .. Aap kya keh rahe hai .. Aisa kaise ho sakta hai .. Hum kisi bachhe ko mout ke muh me nahi bhej sakte ..
Scientist .. My king mere pass jo hal tha main bata chuka hu ..
King .. Nahi nahi aisa kabhi nahi ho sakta hum apne liye kisi bachhe ki jindagi ke sath nahi khel sakte ..
Mahamantri .. My king aap hukum kare my king hum apne bachhe hamare desh aur is duniya ke liye kurban karne ko taiyar hai .. Aisa koi Nahi hoga jo apne bachhe ki kurbani dene me ek pal bhi sochega .. Agar hamare ek bachhe ki jindagi se hum apni duniya ko bacha sakte hai to hum taiyar hai ..
King gara .. Mere bahadur desh basi sworda grah ke anmol ratno ..mere bachoo .. Main tum mese kisi ko bhi kurbani dene nahi dunga .. Is desh is duniya ki jimmedari mere kandho pe hai tum logo ne mujhe king Chuna hai main tum logo se tumhare bachhe ki kurbani kaise mang sakta hu .. Main mera bansh apne is khubsurat duniya ki hifazat ke liye jita hai .. Aab sabhi nishchint rahe hame kuch nahi hoga hum Lohan ko jarur rok ke hi rahenge .. Aab aap sabhi jaiye .. Chiff scientist aap ruk jaiye aap se is bishay pe aur charcha karni hai .

Sabhi chale gaye rah gaye king gara aur chiff scientist

To be continued

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!