Kufr o Shirk ki burai

in hive-120412 •  3 years ago 

1b11c64758794c1f435c087ca8c3314f.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Kufr o shirk ka byan.

Jin cheezo pr iman lana zruri he, un me se kisi ek bat ko bhi na manna kufr he.

Masln koi shakhs khuda taala ko na mane ya farishto ka inkar kre ya khuda ki kitabo me se kisi kitab ka inkar kre ya kisi paighmbr ko na mane ya taqdeer se munkr ho ya qayamt ke din na mane ya khuda taala ke qatyi ehkam me se kisi hukm ka inkar kre, ya Rasool Allah S.A.W ki di huyi kisi khbr ko jhuta smjhe, to in surto me kafir ho jayega.

Or shirk use kehte he ki khuda taala ki zaat ya sifat me kisi dusre ko shareek kre.

Zaat me shirk krne ka mtlb ye he ki do teen khuda manne lge.

Or sifat me shirk krne ka mtlb ye he ki khuda ki sifat ki trh kisi dusre ke liye koi sifat sabit kre, ye shirk he, kyuki kisi makhluq me khwah vo farishta ho ya nabi, wali ho ya shaheed, peer ho ya imam, khuda ki sifato ki. trh koi sifat nhi ho skti .

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
Sort Order:  

ماشااللہ