Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Maa baap ka haq.
Hmare Hazrat Mohammad S.A.W ne maa baap ki khidmat ki takeed krte huye yha tak ki farmaya ki:
Maa baap ki khushi me Allah ki khushi he, maa baap naraz he to Allah taala bhi naraz he.
Ek shakhs ne puchha, ya Rasool Allah S.A.W maa baap ka haq aulad pr kya he?
Huzur S.A.W ne farmaya: vo dono teri Jannat or dozkh he.
Ek muaqa pr hmare Hazrat S.A.W ne farmaya: jis shakhs ke maa baap zinda ho or vo un ki khidmat kr ke jannat na kamaye to us pr afsos sada afsos or hasrat he.
Hmare Hazart S.A.W ne ye bhi bta diya he ki sb se bade gunah teen 3 he.
- Allah ka shareek manna.
- Maa baap ka kehna na manna.
- Jhuti gawahi dena.
Lehaza tumhara farz he ki dil o jaan se maa baap ki khidmat krte rho, unki shaan me bhule se bhi koi be adabi mt kro.
Agr maa baap muslman na ho, un ka koi or mazhab ho tab bhi Allah taala ka hukm yhi he ki un ke sath achha suluk kro.
Deen mazhab to Allah ka haq he, us me to maa baap ki baat nhi mani jayegi, Allah taala ki bat mani jayegi, kyuki Allah ka haq muqaddam he.
Baki duniya ke kam kaaj or rehn sehn me un ke sath hamesha achha brtao kro.
Mazhab ke badlne se un ka ehsan jo tumhare upr he khatam nhi hua.
Shukriya..