Allah taala ke waadon pr yaqeen.

in hive-152587 •  3 years ago 

images - 2021-06-10T010916.824.jpeg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Allah taala ke waadon pr yaqeen.

Hazrat Abu Huraira R.A se rawayt he ki Rasool Allah S.A.W ne farmaya:

Jo shakhs Allah taala ke waadon pr yaqeen krte huye, or us ke ajar o inam ke shauk me kisi muslman ke janaze ke sath jaye.

Or us waqt tk us janaze ke sath rhe jb tk ki us ki namaz e janaza prhi jaye, or us ke dafan se faraghat ho to vo sawab ke do qirat le ke waps hoga.

Jin me se hr qirat goya uhad pahar ke brabr hoga.

Or jo shakhs sirf namaz e janaza prh kr waps aajaye, dafan hone tk sath na rhe to vo sawab ka ek qirat le kr waps hoga.

Qirat dirham ka brahwa hissa hota he.

Kyuki us zmane me mazduro ko un ke kam ki ujrat qirat ke hisab se di jati thi.

Is liye Rasool Allah S.A.W ne bhi is mauke or irshad farmaya or ye bhi wazeh farma diya ki us ko duniya ka qirat na smjha jaye.

Balki ye sawab aakhirat ke qirat ka hoga, jo duniya ke qirat ke muqable me itna bada hoga jitna uhad pahar us ke muqabla me bada or azeemu shan he.

Shukriya..

696e7926086a81a30a55bdca508b35a4.jpg

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!