Bacho me chori ki aadat.

in hive-152587 •  4 years ago 

221f1b638d760cfe14462acd66c1676e.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Bacho me chori ki aadat.

Aap ne vo qissa suna hoga ki ek aurat ka ek larka tha jis ko vo bahut chahti thi, jb vo school jane lga to vha se dusre larkon ko pancel, pen, notebook, or copy chura kr lane lga.

Maa ne us ko kbhi nhi puchha ki to ye sb cheeze kaha se lata he?

Us ki himmat barhti gyi chori krne ki aadat mazbut hoti gyi, to phir vo badi badi cheeze chura kr lane lga, or phir jb jawan hua to ek bada daku bn gya.

Ek roz us ne apne doston ke sath ek gaon me daka dala or bahut se aadmiyon ko maar dala police ne tehqeqq shuru ki or phir us ko giraftar kr liya.

Mukaddama chlne pr us ko phansi ki saza mili.

Jb phansi ka waqt aaya to us ne kaha ki " me apni maa ko ek baat kehna chahta hu" us ko ijazat di gyi.

Maa jis ki halat rote rote buri ho gyi thi us ke paas gyi to larke ne maa ke kan me kaha ki " dekh teri wajh se mujh pr ye musibat aaye ye keh kr us ne maa ka kan danto me chabaya"

Logo ne us ko bura bhala kaha ki aakhri waqt me tu ne ye kya kiya.

To us larke ne kaha ki us maa ki wajh se aaj mujhe phansi ki saza mil rhi he, kyuki jb me school se pancil, pen wagera chura kr lata tha.

Us waqt us ne mujhe roka kyu nhi agr shuru hi se mujhe rokti or is aadat ko chura deti to aaj ye waqt na aata.

Maqsad ye ki bachon ko bigarna ya un ki islah krna zada tr maa ke hath me hota he.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!