Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Hamal ke dauran nekiyan zada kre.
Hakimo ne likha he ki maa dauran e hamal jo amaal o afaal krti he.
Us ke asrat paida hone wale bache pr bahut zada murtatb hote he, yha tk ki mamuli se mamuli kam ke asrat bhi bache pr prte he.
Lehaza maa ko chahiye ki hamal ke dauran khub nekiyan kre, or frayez o wajibat ke alawa sunnat o mustahb ka bhi zada ehtemam kre.
Isi tarah Allah taala ka koi hukm na tore or koi choti se choti nafarmani na kre, or huzur S. A. W ki koi sunnat na chore khilaf e sunnat koi amal na kre.
Kyunki us ke asrat paida hone wale bache blki shirkhar bache pr bhi asar prte he.
Lehaza maa agr Allah taala ke sare ehkam or Rasool Allah S. A.W ki sari mubarak sunnaton pr chlne wali hogi to laziman bacha bhi aayenda zindagi me Allah taala ko razi krne wale amaal krega.
Or zahir he ki Allah taala ke razi hone se us ki duniya ki zindagi or akhirat ki zindagi sanwr jayegi.
Isi tarah Khudana khasta agr Allah taala ke ehkamat ko tore gi , or Hazrat Mohammad S.A.W ki mubarak sunnaton ko choregi to bacha bhi Allah na kre apne bure amaal se Allah taala or un ke Rasool Allah S.A.W ko nraz krne wala hoga.
Or us ki wajh se duniya o aakhirat ki zindagi me hmesha preshan rhega, or us ki zimmadari maa pr hogi.
Shukriya..