Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
Ibadat me tarteeb.
Zilhijja ke ye 10 din jo 1 ek zilhijja se 10 zilhijja tk he, Allah taala ne un ko ek ajeeb khususiyat or fazilat bakhshi he.
Balki agr ghaur se dekha jaye to maloom hoga ki fazilat ka ye silsila Ramazan se shuru ho rha he.
Allah taala ne ibadaton ke darmyan ajeeb o ghareeb tarteeb rkhi he.
Sb se pehle Ramazan laye or us me roze farz farma diye, or phir Ramazan khatam hone pr foran agle din se hajj ki ibadat ki tamheed shuru hogyi.
Is liye ki Rasool Allah S.A.W ne irshad farmaya ki hajj ke teen mahine he, Shawwal, Ziqayeda, Zilhijja.
Hajj ke makhsus arkan to Zilhijja hi me ada hote he.
Lekin hajj ke liye ehram bandhna Shawwal se jayez or mustahab ho jata he.
Lehaza agr koi shakhs hajj ko jana chahe, to us ke liye shawwal ki pehle tarikh se hajj ka ehram bandh kr niklna jayez he, is tarikh se pehle hajj ka ehram bandhna jayez nhi.
Pehle zmane me hajj pr jane ke liye kafi waqt lgta tha.
Or baaz aukat do do teen teen mahine vha pahunchne me lg jate the.
Is liye Shawwal ka mahina aate hi log safar ki tayyari shuru kr dete the.
Goya ki roze ki ibadat khatam hote hi hajj ki ibadat shuru hogyi, or phir hajj ki ibadat us pehle ashre me anjam pa jati he.
Is liye ki hajj ka sb se bada rukn jo Wuquf e arfa he.
Shukriya..