Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Imarat ki haqiqat.
Hazrat Auf bin Malik R.A se rawayat he ki Rasool Allah S.A.W ne farmaya: Agr tum chaho to me tumhe is imarat ki haqeeqat btaun?
Me ne 3 baar buland awaz se puchha: ya Rasool Allah! is ki kya haqeeqat he?
Aap S.A.W ne irshad farmaya: is ka pehla marhla mlamat he, dusra marhla nidamat he, or teesra marhla qyamat ke din azab he.
Haan jis shakhs ne insaf kya vo mehfooz rhega, lekin aadmi apne qareebi rishtedar wagera ke maamlat me adal o insaf kese kr skte he.
Yani ba wajud adal o insaf ko chahte huye bhi tabiyat se maghlub ho kr adal o insaf nhi kr pata or rishtedaron ki taraf jhukao ho jata he.
Matlab ye he ki jo shakhs ameer bnta he us ko hr taraf se malamat ki jati he ki us ne esa nhi kya, vesa kya.
Us ke baad vo logo ki us malamt se pareshan ho kr nedamat me mubtla ho jata he, or kehta he me ne is mansab ko kyu qubool kya.
Phir aakhri marhla insaf na krne ki surat me qayamat ke din azab ki shakal me zahir hoga, gharz ye ki duniya me bhi zillat o ruswayi or aakhirat me bhi hisab ki sakhti hogi.
Shukriya..