Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
Is mahal me khuda ko talash krne wala ehmaq he.
Hazrat Ibrahim bin adham R.A jo bade badshah the.
Ek martaba Hazrat Ibrahim bin adham R.A ne raat ke waqt ek aadmi ko dekha ki vo mahal ke chhat pr ghum rha he.
Hazrat Ibrahim bin adham R.A ne us ko pakr kr puchha ki raat ke waqt yha mahal ki chhat pr kya kr rhe ho?
Us aadmi ne kaha ki unat talash krne aaya hu, mera unat gum ho gya he.
Hazrat Ibrahim bin adham ne farmaya ki are bewakuq , km aql, raat ko is waqt mahal ki chhat pr unat talash kr rha he, tujhe yha unat kese milega?
Us aadmi ne hairat se puchha ki unat yha nhi mil skta kya?
Hazrat Ibrahim bin adham ne farmaya: nhi tujhe yha mahal ki chhat pr unat kese milega?
Us aadmi ne kaha ki agr is mahal me unat nhi mil skta or is mahal me unat talash krne wala ehmaq he.
To ye bhi samjhlo ki tum yha rehte huye khuda ko talash kr rhe ho, tumhe khuda bhi nhi mil skta , agr me ehmaq hu to mujh se zada tum ehmaq ho.
Bs! is waqt Ibrahim bin adham ke dil pr ek chot lgi, or usi waqt sari badahahiyat chor ke jangal ki taraf rawana hogye.
Or rawana hote waqt socha ki ab to Allah taala ki yaad me zindagi basar krni he.
Is liye sirf takiya or ek pyala sath le liya taki khane peene ki zarurat pesh aayegi to us pyale me kha pee lenge.
Or sone ki zarurat pesh aayegi to zameen pr takiya rkh ke so jayenge.
Jb kuch aage chle to dekha ki ek aadmi drya ke kinare betha he or chullu bna kr pani pee rha he, aap ne socha ki ye pyala me ne apne sath fuzool le liya.
Ye kaam to hatho ke zariye bhi ho skta he, vo pyala phenk diya or aage rawana ho gye.
Kuch or aage gye to dekha ki ek aadmi sr ke niche apna hath rkh kr so rha he, phir socha ki ye takiya bhi me ne fuzool liya.
Takiya to Allah taala ne khud de rkha he, us se kam chlayenge, phir phir unho ne vo takiya bhi phenk diya.
Is qisse ki wajh se baaz log is ghalat fehmi me rehte he ki pyala rkhna bhi israf he, or takiya rkhna bhi israf he.
Shukriya..